Ghalib
















‘Mehram nahin hai tu hi nawa-e-raaz ka
 Yan verna jo hijaab hai parda hai saaz ka’.

Ghalib...
Jaanta hoon swab-e-tayto zuhad /
 Per tabiyat idhar nahin aati


Ghalib says
‘Jaan di di huyi usiki thhi / 
Haq to hai hai ki haq adaa na hua’ 
(Allah gives life and He also takes it away, but the regret is that a person does not perform the sacrosanct duties assigned to him during his life-time).

"Ye na thi hamaari qismat ke visaal-e-yaar hota
Agar aur jeete rehte yahi intazaar hota"
[Ghalib]
-----------------------------------------------------------------


baaziichaa-e-atfaal hai duniyaa mere aage
hotaa hai shab-o-roz tamaashaa mere aage
(baaziichaa-e-atfaal : child’s playground)

ik khel hai aurang-e-sulemaaN mere nazdiik
ik baat hai ijaaz-e-masiihaa mere aage

(aurang-e-SulemaaN : throne of King Solomon; ijaaz : miracle; masiihaa : Messiah, here meaning Jesus)

juz naam nahiiN suurat-e-aalam mujhe manzuur
juz vahm nahiiN hastii-e-ashyaa mere aage
(juz : other than; aalam : world; ashyaa : things)

hotaa hai nihaaN gard meN sehraa mere hote
ghistaa hai jabiiN Khaak pe dariyaa mere aage
(nihaaN : hidden; gard : dust; sehraa : wilderness; jabiiN : forehead)

mat puuchh ke kyaa haal hai meraa tere piichhe
tuu dekh ke kyaa rang hai teraa mere aage

sach kahte ho Khud’biin-o-Khud’aaraa huuN na kyuuN huuN
baiThaa hai but-e-aa’iinaa-siimaa mere aage
(Khud’biin : proud, Khud’aaraa : self adorer; but : idol or lover; aa’iinaa-siimaa : mirror faced)

phir dekhiye andaaz-e-gul’afshaanii-e-guftaar
rakh de ko’ii paimaanaa-e-sahbaa mere aage
(gul’afshaanii-e-guftaar : to scatter flowers while speaking; sahbaa : wine)


nafrat ka gumaaN guzre hai maiN rashk se guzraa
kyuuN kar kahuuN lo naam naa us kaa mere aage
(gumaaN : doubt; rashk : envy)

iimaaN mujhe roke hai jo khiiNche hai mujhe kufr
kaabaa mere piichhe hai kaliisaa mere aage
(kufr : infidelity, kaliisaa : church)

aashiq huuN pe maashuuq-farebii hai mera kaam
majnuuN ko buraa kahtii hai lailaa mere aage
(maashuuq-farebii : to trick beloved)

Khush hote haiN par vasl meN yuuN mar nahiiN jaate
aayii shab-e-hijraaN kii tamannaa mere aage
(hijr : separation)

hai mauj’zan ik qulzum-e-KhuuN kaash! yahii ho
aataa hai abhii dekhiye kyaa-kyaa mere aage
(mauj’zan : turbulent as in waves; qulzum-e-KhuuN : red sea)

go haath ko jumbish nahiiN aaNkhoN meN to dam hai
rahne do abhii saaGhar-o-miinaa mere aage
(jumbish : movement; saaGar-o-miinaa : glass of wine and pitcher)

ham’peshaa-o-ham’mashrab-o-ham’raaz hai meraa
“Ghalib” ko buraa kyuuN kaho achchhaa mere aage
(ham’peshaa : of the same profession; ham’masharab : of the same habits; ham’raaz : confidant)

------------------------------------------------------------------

aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak
(aah : sigh; zulf : tresses

daam har mauj meN hai halqaa-e-sad-kaam-e-nahang
dekheN kyaa guzre hai qatre pe guhar hone tak
(daam : trap; mauj : wave; halqaa : ring; sad : hundred; nahang : crocodile; guhar : pearl)

aashiquii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuuN Khuun-e-jigar hone tak
(sabr-talab : requiring patience)

ham ne maanaa ke taGhaaful na karoge lekin
Khaak ho jaayeNge ham tum ko Khabar hone tak
(taGhaaful : neglect)

partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim
maiN bhii huuN ek inaayat kii nazar hone tak
(partav-e-Khuur : Sun rays; shabanam : dew; fanaa : to perish; inaayat : favour)

yak-nazar besh nahiiN fursat-e-hastii Ghaafil
garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
(besh : excess; Ghaafil : ignorant; raqs : dance; sharar : fire)

Gham-e-hastii kaa ‘Asad’ kis se ho juz marg ilaaj
shammaa har rang meN jaltii hai sahar hone tak
(juz : other than; marg : death; sahar : dawn)
--------------------------------------------------------------------------
dil-e-naadaaN tujhe hu’aa kyaa hai
aaKhir is dard kii davaa kyaa hai
(naadaaN : one without wisdom; davaa : remedy)

ham haiN mushtaaq aur vo bezaar
yaa ilaahii ! ye maajraa kyaa hai
(mushtaaq : interested; bezaar : sick of; maajraa : happening)

ham bhii muuNh meN zabaan rakhate huuN
kaash puuchho ke mudda’a kyaa hai
(muuNh : mouth; zabaan : tongue; mudda’a : issue)

jab ki tujh bin nahiiN ko’ii maujuud
phir ye hangaamaa ai Khudaa kyaa hai
(maujuud : present; hangaamaa : chaos)

ye parii-cheharaa log kaise haiN
Ghamzaa-o-ishvaa-o-adaa kyaa hai
(parii-chehraa : fairy faces; Ghamzaa : amourous glance; ishvaa : ? ; adaa : elegance)

shikan-e-zulf-e-ambarii kyoN hai
nigah-e-chashm-e-suurmaa saa kyaa hai
(shikan : wrinkle; zulf : tresses; ambarii : fragrance; nigah : glance; chasm-e-suurmaa : kohl eyes)

sabzaa-o-gul kahaaN se aaye haiN
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai
(sabzaa-o-gul : greenery and flowers; abr : a cloud; havaa : wind)

hamko unse vafaa kii hai ummiid
jo nahiiN jaante vafaa kyaa hai
(vafaa : fidelity; ummiid : hope)

haaN bhalaa kar teraa bhalaa hogaa
aur darvesh kii sadaa kyaa hai
(bhalaa : good; darvesh : mendicant; sadaa : voice)

jaan tum par nisaar kartaa huuN
maiN nahiiN jaantaa du’aa kyaa hai
(jaan : life; nisaar : sacrifice; du’aa : prayer)

ham ne maanaa ke kuchh nahiiN “Ghalib”
muft haath aaye to buraa kyaa hai
(muft : free; haath aanaa: to get something; buraa : bad)
------------------------------------------------------------------
Kaam Aakhir Jazba-E-Beikhtiar Aa Hi Gaya
Dil Kuch Iss Surat Se Tadpa Unko Pyar Aa Hi Gaya …

Jaane Woh Kaise Log The Jinke Pyar Ko Pyar Mila
Kuch To Hain Mohabbat Mein Junoon Ka Asar

Aur Kuch Log Bhi Deewana Bana Dete Hain

(Magaz)



hum ko unse vafaa kii hai ummiid
jo nahii.n jaanate vafaa kyaa hai

haa.N bhalaa kar, teraa bhalaa hogaa
aur darvesh kii sadaa kyaa hai

[darvesh=medicant; sadaa=voice]

jaan tum par nisaar karataa huu.N
mai.n nahii.n jaanataa duaa kyaa hai

mai.n ne maanaa ki kuchh nahii.n ’Ghalib’
muft haath aaye to buraa kyaa hai

hai Khabar garm unake aane kii
aaj hii ghar me.n boriyaa na huaa

jaan dii, dii huii usii kii thii
haq to yuu.N hai ke haq adaa na huaa

kuchch to par he, ki log kahate hai.n
aaj ’Ghalib’ Gazal_saraa na huaa

daayam pa.raa huaa tere dar par nahii.n huu.N mai.n
Khaak aisii zindagii pe ke paththar nahii.n huu.N mai.n

kyuu.N gardish-e-mudaam se, ghabraa na jaaye dil
insaan huu.N, pyaalaa-o-saaGar nahii.n huu.N mai.n

yaarab! zamaanaa mujh ko mi Taataa hai kis liye
lauh-e-jahaa.N pe harf-e-mukarrar nahii.n huu.N mai.n


had chaahiye sazaa me.n, uquubat ke waaste
aaKhir gunaahagaar huu.N, kaafir nahii.n huu.N mai.n

[uqoobat=pain]

kis waaste aziiz nahii.n jaanate mujhe
laal-o-zumaruud-o-zar-o-gauhar nahii.n huu.N mai.n

[laal=ruby; zumuruud=emerald; zar=gold; gauhar=pearl]


rakhate ho tum qadam merii aa.Nkho.n se kyuu.n dareG
rutabe me.n mahr-o-maah se kamatar nahii.n huu.N mai.n

[dareG=concealed, mahr=sun, maah=moon]

karate ho mujhako manaa-e-qadam_bos kis liye
kyaa aasmaa.N ke bhii baraabar nahii.n huu.N mai.n

kis waaste aziiz nahii.n jaanate mujhe
laal-o-zumaruud-o-zar-o-gauhar nahii.n huu.N mai.n

[laal=ruby; zumuruud=emerald; zar=gold; gauhar=pearl]

rakhate ho tum qadam merii aa.Nkho.n se kyuu.n dareG
rutabe me.n mahr-o-maah se kamatar nahii.n huu.N mai.n

[dareG=concealed, mahr=sun, maah=moon]

karate ho mujhako manaa-e-qadam_bos kis liye
kyaa aasmaa.N ke bhii baraabar nahii.n huu.N mai.n

bahot sahii Gam-e-getii sharaab kam kyaa hai
Gulaam-e-saaqii-e-kausar huu.N mujhako Gam kyaa hai
[Gam-e-getii=sorrows of the world]
[Gulaam-e-saaqii-e-kausar=servant of the person who serves drinks from ’kausar’, a river which flows in heaven]

tumhaarii tarz-o-ravish,  jaanate hai.n ham kyaa hai
raqiib par hai agar lutf,  tou sitam kyaa hai 

baaziichaa-e-atfaal hai duniyaa mere aage
hotaa hai shab-o-roz tamaashaa mere aage

[baaziichaa-e-atfaal = child’s play]

arz-e-niyaaz-e-ishq  ke, qaabil nahii.n rahaa
jis dil pe naaz thaa mujhe, vo dil nahii.n rahaa

ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin
Khaak ho jaaye.nge ham tum ko Khabar hone tak

Gam-e-hastii kaa ’Asad’ kis se ho juz,  marg ilaaj
shammaa har rang me.n jalatii hai sahar hone tak












---------------------------------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment