Qateel Shafai
Yeh Maujza Bhi Muhabbat Kabhi Dekhaye Mujhay
Kay Sang Tujh pe giray aur zakham ayea mujhay
mein apnay paaon talay rondta hon saye ko
badan mera hee sahi, dopahar na bhaaye mujhay
Mein ghar sey teri tamanna pehan kay jab niklon
Barhana shehar mein koi nazar na ayeah mujhay
Wohi tu sab sey zyada hay nuqta chain mera
Jo muskara kay hamesha galay lagayee mujhay
Woh mera dost hay saray jehan ko hay maloom
Dagha karay woh kisi sey tu sharam ayeah mujhay
Woh keharbaan hay tu iqrar kyun nahi karta
Woh bad-gumaan hay tu soo bar azmayee mujhay
Barang-e-Aud milay gee isay meri khusbo
Woh jab bhi chahay baray shauq sey jalayee mujhay
Mein apni zaat mein nilaam ho rehaa hon Qateel
Game-e-hiyat sey kah do khareed layee mujhay
apane haathon kii lakiiron mein basaale mujhako
main huun teraa nasiib apanaa banaa le mujhako
mujhase tuu puuchhane aayaa hai vafaa ke maanii
ye terii sadaadilii maar na Daale mujhako
main samandar bhii huun motii bhii huun Gotaazan bhii
koii bhii naam meraa leke bulaale mujhako
tuune dekhaa nahiin aaiine se aage kuchh bhii
Khudaparastii mein kahiin tuu na ganvaale mujhako
kal kii baat aur hai main ab saa rahuun yaa na rahuun
jitanaa jii chaahe teraa aaj sataale mujhako
Khud ko main baant na Daaluun kahiin daaman-daaman
kar diyaa tuune agar mere havaale mujhako
main jo kaantaa huun to chal mujh se bachaakar daaman
main huun gar phuul to juure mein sajaale mujhako
main khule dar ke kisii ghar kaa huun saamaan pyaare
tuu dabe paanv kabhii aake churaale mujhako
tark-e-ulfat kii qasam bhii koii hotii hai qasam
tuu kabhii yaad to kar bhuulanevaale mujhako
baadaa phir baadaa hai main zahar bhii pii jaauun "Qateel"
shart ye hai koii baahon mein sambhale mujhako
Raqs Karnay Ka Milaa Hukm Jo Dariyaaon Main
Hum Nay Khush Hokay Bhanvaar Bandh Liye Paaon Main
Un Ko Bhi Hai Kisi Bheegay Huay Manzar Kii Talaash
Boondh Tak Bo Na Sakay Jo Kabhi Saharaoon Main
Ai Mere HumSafaroon Tum Bhi ThakayHaaray Ho
Dhoop Kii Tum To Milavat Na Karo Chaaon Main
Jo Bhi Aata Hai Bataata Hai Nayaa Koi Ilaaj
Bat Na Jaye Teraa Bimaar Maseehaaon Main
Hauslaa Kis Main Hai Yusuf Kii Kharidaari Kaa
Aab To Mehngaaii Kay Charchay Hain Zulaikhaaon Main
Jis Barahman Nay Kaha hai Kay Ye Saal Acha Hai
Us Ko Dafnaon Meray haath Kii Rekhaaon Main
Who Khudaa Hai Kisi Tootay Huay Dil Main Hogaa
Masjidoon Main Usay Dhoondho Na Kaliisaaon Main
Hum Ko Aapas Main Muhabbat Nahin Karnay Detay
Ik Yehi Aiib Hai Is Shehr Kay Daanaon main
Mujh Say Kartay Hain 'Qateel' Is Liye Kuch Log Hasad
Kyon Mere Shehr Hain Maqbool Haseenaon Main
Younhi loog issay MOHABBAT samaj baithay
Woh shaks Mujha Jaan se Pyaara hai aur bass
jab talak door hai tu teri paristish kar lain
hum jise choo na saken os ko KHUDA kehte hain
raahon pe nazar rakhna ' honton pe dua rakhna
aa jaye koi shayed darwaza khula rakhna
ehsaas ki shamma ko is tarha jala rakhna
apni b khabar rakhna' us ka b pata rakhna
raaton ko bhatakne ki dyta hai saza mujh ko
dushwaar hai pehloo main dil tere bina rakhna
logon ki nigaahon ko perh lyne ki aadat hai
halaat ki tehreerain chehre se bacha rakhna
bhoolon mein agar ay dil tu yaad dila dyna
tanhai k lamhon ka har zakhm harra rakhna
ik bhoondh b ashkon ki damman na bhiggo paye
ghum us ki amanat hai palkon pe sajja rakhna
is tarah qateel us se bartaav rahe apna
wo b na burra maane ' dil ka b kaha rakhna
milakar judaa hue to na soyaa kare.nge ham
ek duusare kii yaad me.n royaa kare.nge ham
aa.Nsuu chhalak chhalak ke sataaye.nge raat bhar
motii palak palak me.n piroyaa kare.nge ham
jab duuriyo.n kii aag dilo.n ko jalaayegii
jismo.n ko chaa.Ndanii me.n bhigoyaa kare.nge ham
gar de gayaa daGaa hame.n tuufaan bhii 'Qateel'
saahil pe kashtiyo.n ko Duuboyaa kare.nge ham
kiyaa hai pyaar jise hamane zindagii kii tarah
vo aashanaa bhii milaa hamase ajanabii kii tarah
ba.Daa ke pyaas merii us ne haath chho.D diyaa
vo kar rahaa thaa muravvat bhii dillagii kii tarah
kise Khabar thii ba.Degii kuchh aur taariikii
chhupegaa vo kisii badalii me.n chaa.Ndanii kii tarah
kabhii na sochaa thaa hamane "Qateel" us ke liye
karegaa ham pe sitam vo bhii har kisii kii tarah
dard se meraa daaman bhar de yaa allaah
phir chaahe diivaanaa kar de yaa allaah
mai.n ne tujhase chaa.Nd sitaare kab maa.Nge
raushan dil bedaar nazar de yaa allaah
suuraj sii ik chiiz to ham sab dekh chuke
sach-much kii ab koii sahar de yaa allaah
yaa dhartii ke zaKhmo.n par maraham rakh de
yaa meraa dil patthar kar de yaa allaah
.................................................................
raahon pe nazar rakhna ' honton pe dua rakhna
aa jaye koi shayed darwaza khula rakhna
ehsaas ki shamma ko is tarha jala rakhna
apni b khabar rakhna' us ka b pata rakhna
raaton ko bhatakne ki dyta hai saza mujh ko
dushwaar hai pehloo main dil tere bina rakhna
logon ki nigaahon ko perh lyne ki aadat hai
halaat ki tehreerain chehre se bacha rakhna
bhoolon mein agar ay dil tu yaad dila dyna
tanhai k lamhon ka har zakhm harra rakhna
ik bhoondh b ashkon ki damman na bhiggo paye
ghum us ki amanat hai palkon pe sajja rakhna
is tarah qateel us se bartaav rahe apna
wo b na burra maane ' dil ka b kaha rakhna
............................................................
dard se meraa daaman bhar de yaa allaah
phir chaahe diivaanaa kar de yaa allaah
mai.n ne tujhase chaa.Nd sitaare kab maa.Nge
raushan dil bedaar nazar de yaa allaah
suuraj sii ik chiiz to ham sab dekh chuke
sach-much kii ab koii sahar de yaa allaah
yaa dhartii ke zaKhmo.n par maraham rakh de
yaa meraa dil patthar kar de yaa allaah
......................................................................
Jahan hawa ko ujalay nigaltay dekha hai
charagh apna wahan main ne jaltay dekha hai
zaheen hai wo kuch itna k her milap m baad
milap k ussay maani badaltay dekha hai
naseeb us ko huwi jab me're visaal ki aanch
kiran kiran badan us ka pighaltay dekha hai
jo dil ko jhaid raha tha nazr k rastay se
wo teer main ne kaman se nikaltay dekha hai
main khwab dekh raha hon tumharay sadyon se
ksi ne kya mujhe karwat badaltay dekha hai
kisi haseen gali main jo kha gaya thoker
us aadmi ko kahan phr machaltay dekha hai
tjhe wo jaan gya meri khud kalami se
wo jis ne mjh ko akailay main chaltay dekha hai
Qateel us ka shabistaan gwah hai mera
k main ne raat ko suraj nikaltay dekha hai
...........................................................
Pyar ki raah main aisay bhi maqaam aatay hain
sirf aansu jahan insaan k kaam atay hain
unki aankhon se rakhay kya koi umeed e karam
pyas mitt jaye to gardish main wo jaam aatay hain
zindagi ban k wo chaltay hain me'ri saans k sath
un ko aisay bhi kai tarz e kharaam aatay hain
hum na chahain to kabhi shaam k saye na dhalain
hum tadptay hain to subhoon k salam aatay hain
qowwat e dast e talab ka nahin jin ko idraak
teray dar se wohi be neel maraam aatay hain
munh chupa letay hain gham hazrat e nasaih ki tarha
jab bhi maikhany main rindaan e karaam aatay hain
hum pe ho jain na kuch aur bhi ratain bhari
yaad akser wo hamain ab sir e shaam aatay hain
chin gaye hum se jo halaat ki rahoon main Qateel!
un haseenon k hamain ab bhi payaam aatay hain.
......................................................................
dekhtay jao mager kuch bhi zubaan se na kaho
maslihat ka ye taqaza hai k khamosh raho
loog dekhain gay to afsana bana dalain gay
yun meray dil main chalay aao k aahat bhi na ho
gungunati huwi raftaar bdi naimat hai
tum chattano se bhi photo to nadi ban k baho
gham koi bhi ho jawani main mazah deta hai
gham e janaan jo nahin hai gham e dauraan hi saho
ho chukay pyar main ruswa sir e bazar Qateel!
ab koi hum ko nahin fikr jo hona hai so ho............
...................................................................
loog dekhain gay to afsana bana dalain gay
yun meray dil main chalay aao k aahat bhi na ho
.............................................................................................
pahle to apane dil kii razaa jaan jaaiye
phir jo nigaah-e-yaar kahe maan jaaiye
pahale mizaaj-e-raahaguzar jaan jaaiye
phir gard-e-raah jo bhii kahe maan jaaiye
kuchh kah rahii hai aap ke siine kii dharakane
merii sunen to dil kaa kahaa maan jaaiye
ik dhuup sii jamii hai nigaahon ke aas paas
ye aap hain to aap pe qurbaan jaaiye
shaayad huzuur se koii nisbat hamen bhii ho
aankhon mein jhaank kar hamen pahachaan jaaiye
................................................................
Beyrukhi kay Gaaray say..Baydili ki Mitti Say..
Faseelon ki Entoun Say.. Eeent Jurnay Lagti Hay!!!!
..............................................................
Yeh Maujza Bhi Muhabbat Kabhi Dekhaye Mujhay
Kay Sang Tujh pe giray aur zakham ayea mujhay
mein apnay paaon talay rondta hon saye ko
badan mera hee sahi, dopahar na bhaaye mujhay
Mein ghar sey teri tamanna pehan kay jab niklon
Barhana shehar mein koi nazar na ayeah mujhay
Wohi tu sab sey zyada hay nuqta chain mera
Jo muskara kay hamesha galay lagayee mujhay
Woh mera dost hay saray jehan ko hay maloom
Dagha karay woh kisi sey tu sharam ayeah mujhay
Woh keharbaan hay tu iqrar kyun nahi karta
Woh bad-gumaan hay tu soo bar azmayee mujhay
Barang-e-Aud milay gee isay meri khusbo
Woh jab bhi chahay baray shauq sey jalayee mujhay
Mein apni zaat mein nilaam ho rehaa hon Qateel
Game-e-hiyat sey kah do khareed layee mujhay
-------------------------------------------------------------
Pyar ki raah main aisay bhi maqaam aatay hain
sirf aansu jahan insaan k kaam atay hain
unki aankhon se rakhay kya koi umeed e karam
pyas mitt jaye to gardish main wo jaam aatay hain
zindagi ban k wo chaltay hain me'ri saans k sath
un ko aisay bhi kai tarz e kharaam aatay hain
hum na chahain to kabhi shaam k saye na dhalain
hum tadptay hain to subhoon k salam aatay hain
qowwat e dast e talab ka nahin jin ko idraak
teray dar se wohi be neel maraam aatay hain
munh chupa letay hain gham hazrat e nasaih ki tarha
jab bhi maikhany main rindaan e karaam aatay hain
hum pe ho jain na kuch aur bhi ratain bhari
yaad akser wo hamain ab sir e shaam aatay hain
chin gaye hum se jo halaat ki rahoon main Qateel!
un haseenon k hamain ab bhi payaam aatay hain.
-----------------------------------------------------------------------------------
dekhtay jao mager kuch bhi zubaan se na kaho
maslihat ka ye taqaza hai k khamosh raho
loog dekhain gay to afsana bana dalain gay
yun meray dil main chalay aao k aahat bhi na ho
gungunati huwi raftaar bdi naimat hai
tum chattano se bhi photo to nadi ban k baho
gham koi bhi ho jawani main mazah deta hai
gham e janaan jo nahin hai gham e dauraan hi saho
ho chukay pyar main ruswa sir e bazar Qateel!
ab koi hum ko nahin fikr jo hona hai so ho............
-----------------------------------------------------------------------
pahle to apane dil kii razaa jaan jaaiye
phir jo nigaah-e-yaar kahe maan jaaiye
pahale mizaaj-e-raahaguzar jaan jaaiye
phir gard-e-raah jo bhii kahe maan jaaiye
kuchh kah rahii hai aap ke siine kii dharakane
merii sunen to dil kaa kahaa maan jaaiye
ik dhuup sii jamii hai nigaahon ke aas paas
ye aap hain to aap pe qurbaan jaaiye
shaayad huzuur se koii nisbat hamen bhii ho
aankhon mein jhaank kar hamen pahachaan jaaiye
--------------------------------------------------------------------------------------------------------
Tu ne ye phool jo, zulfo(n) mein sajaa rakha hai..
Ek diya hai jo andhere mein jala rakha hai
Jeet le jaai, koi mujhko naseebo wala...
Zindgi ne mujhe daavo pe laga rakha hai...
Jaane kab dil mein koi jhaankne wala aa jaai...
Is liye maine, girebaan khula rakha hai...
Imtehaan aur mere zabt ka tum kya loge...
Maine dharkan ko bhi, seenay mein chupaa rakha hai...
Dil thaa ek shola, magar beet gaye din woh qateel,
Aab kuredo na isse, raakh mein kya rakha hai...
-------------------------------------------------------------------
hamaray dil ko abhitak thumari chahat hai
makan doond ra hai maira makeen ayai
----------------------------------------------------------------------------------------------
ulfat kii naii manzil ko chalaa, tuu baaNhen Daal ke baaNhon mein
dil torane vaale dekh ke chal, ham bhii to pare hain raahon mein
kyaa kyaa na jafaayeN dil pe sahiin, par tum se koii shikavaa na kiyaa
is jurm ko bhii shaamil kar lo, mere maasuum gunaahon mein
jahaaN chaaNdanii raaton mein tum ne Khud hamase kiyaa iqaraar-e-vafaa
phir aaj hain ham kyon begaane, terii beraham nigaahon mein
ham bhii hain vahii, tum bhii ho vahii, ye apanii-apanii qismat hai
tum khel rahe ho Khushiyon se, ham Duub gaye hain aahon mein
----------------------------------------------------------------------------------------------
angaraaii par angaraaii letii hai raat judaaii kii
tum kyaa samajho tum kyaa jaano baat merii tanahaaii kii
kaun siyaahii ghol rahaa thaa vaqt ke bahate dariyaa mein
main ne aaNkh jhukii dekhii hai aaj kisii harajaaii kii
vasl kii raat na jaane kyuuN israar thaa unako jaane par
vaqt se pahale Duub gae taaron ne barii daanaaii kii
urate urate aas kaa paaNchhii duur ufaq mein Duub gayaa
rote rote baiTh gaii aavaaz kisii saudaaii kii
------------------------------------------------------------------------------------------
Raat ke sannate mein hum ne kya kya dhokay khaye hain
Apna hi jab dil dharka to hum samjhay wo aaye hain
Band jharokay sooni galiyan ya phir ghum ke saaye hain
Chaand sitaare nikle hain par mere liye kya laaye hain
Jis din se tum bichar gaye ye haal hai apni aankhon ka
Jese do baadil saawan ke aapas mein takraaye hain
Ab to raah na bhoolo ge tum ab to hum se aan milo
Dekho hum ne palak palak par sau sau deep jalaye hain
Haaye Qateel is tanhaayi mein kya soojhi hai mausam ko
Jis din se wo paas nahi us din se baadil chaaye hain
-------------------------------------------------------------------
ھاتھ دیا اس نے جب مرے ھاتھ میں
میں تو ولی بن گیا اک رات میں
عشق کرو گے تو کماؤ گے نام
تہمتیں بٹتی نہیں خیرات میں
شام کی گلرنگ ھوا کیا چلی
درد مہکنے لگا جذبات میں
ھاتھ میں کاغذ کی لیے چھتریاں
گھر سے نہ نکلا کرو برسات میں
ربط بڑھایا نہ قتیل اس لیے
فرق تھا دونوں کے خیالات میں
------------------------------------
چاندی جیسا رنگ ھے تیرا سونے جیسے بال
ایک تو ھی دھنوان ھے گوری باقی سب کنگال
ھر آنگن میں سجے نہ تیرے اجلے روپ کی دھوپ
چھیل چھبیلی رانی تھوڑا گھونگھٹ اور نکال
بھر بھر نظریں دیکھیں تجھ کو آتے جاتے لوگ
دیکھ تجھے بدنام نہ کر دے یہ ھرنی جیسی چال
بیچ میں رنگ محل ھے تیرا کھائی چاروں اور
ھم سے ملنے کی اب گوری تو ھی راہ نکال
یہ دنیا ھے خود غرضوں کی لیکن یار قتیل
تو نے ھمارا ساتھ دیا تو جئے ہزاروں سال
----------------------------------------
پریشاں رات ساری ہے، ستارو تم تو سو جاؤ
سکوتِ مرگ طاری ہے، ستارو تم تو سو جاؤ
ہنسو اور ہنستے ہنستے ڈوبتے جاؤ خلاؤں میں
ہمیں پر رات بھاری ہے، ستارو تم تو سو جاؤ
ہمیں تو آج کی شب پو پھٹے تک جاگنا ہوگا
یہی قسمت ہماری ہے، ستارو تم تو سو جاؤ
تمہیں کیا! آج بھی کوئی اگر ملنے نہیں آیا
یہ بازی ہم نے ہاری ہے، ستارو تم تو سو جاؤ
کہے جاتے ہو رو رو کر ہمارا حال دنیا سے
یہ کیسی رازداری ہے، ستارو تم تو سو جاؤ
ہمیں بھی نیند آجائے گی ہم بھی سو ہی جائیں گے
ابھی کچھ بے قراری ہے، ستارو تم تو سو جاؤ
-------------------------------------
حقیقت کا اگر افسانہ، بن جائے تو کیا کیجے
گلے مل کر بھی وہ بیگانہ بن جائے تو کیا کیجے
ہمیں سو بار ترکِ مے کشی منظور ہے لیکن
نظر اس کی اگر میخانہ بن جائے تو کیا کیجے
نظر آتا ہے سجدے میں جو اکثر شیخ صاحب کو
وہ جلوہ، جلوۂِ جانانہ بن جائے تو کیا کیجے
ترے ملنے سے جو مجھ کو ہمیشہ منع کرتا ہے
اگر وہ بھی ترا دیوانہ بن جائے تو کیا کیجے
خدا کا گھر سمجھ رکھا ہے اب تک ہم نے جس دل کو
قتیل اس میں بھی اک بُت خانہ بن جائے تو کیا کیجے
-------------------------------------------
guzare dinon kii yaad barasatii ghaTaa lage
guzaruuN jo us galii se to ThanDii havaa lage
mehamaan banke aaye kisii roz agar vo shaKhs
us roz bin sajaaye meraa ghar sajaa lage
main is liye manaataa nahiin vasl kii Khushii
mere raqiib kii na mujhe bad_duaa lage
vo qahat dostii kaa paraa hai ki in dinon
jo muskuraa ke baat kare aashnaa lage
tark-e-vafaa ke baad ye us kii adaa 'Qateel'
mujhako sataaye koii to us ko buraa lage
------------------------------------------------
MUNTAZIR KIS KA HOO TOOTI HOI DAHLEEZ PEY MAI
KAUN AAE GA YAHA KAUN HAI AANEY WALA
MAINE DEKHA HAI BAHARO MAI CHAMAN KO CAHALTEY
HAI KOI KHWAB KI TABEER BATLANEY WALA
ميرے ليے مٹي کا حرم اور بنا دو
تہذيب نوي کارگہ شيشہ گراں ہے
---------------------------------------------------------
Angrai Par Angrai Leti Hai Rat Judai Ki
Apne Hathon Ki Lakiron Mein Basale Mujhko
Apne Honton Par Sajana Chahta Hun
Bechain Baharon Mein Kya Kya Hai Jan Ki Khushbu Ati Hai
Charag Dil K Jalao K Eid Ka Din Hai
Dard Se Mera Daman Bhar De Ya Allah
Dil Ko Gam E Hayat Gawara Hai In Dinon
Duniya Ne Ham Pe Jab Koi Ilzam Rakh Diya
Garmi E Hasrat E Nakam Se Jal Jate Hain
Guzre Dinon Ki Yad Barsati Ghata Lage
Har Bezaban Ko Sholanawa Kah Liya Karo
Hijr Ki Pahli Sham K Saye Dur Ufaq Tak Chaye The
Ik Ik Patthar Jor K Main Ne Jo Diwar Banai Hai
Jo Bhi Guncha Tere Honton Par Khila Karta Hai
Kiya Hai Pyar Jise Hamne Zindagi Ki Tarah
Main Ne Pucha Pahla Patthar Mujh Par Kaun Uthayega
Milkar Juda Hue To Na Soya Karenge Ham
Pahle To Apne Dil Ki Raza Jan Jaiye
Pareshan Rat Sari Hai Sitaro Tum To So Jao
Pyas Wo Dil Ki Bujhane Kabhi Aya Bhi Nahin
Rachi Hai Ratjago Ki Chandani Jin Ki Jabinon Mein
Raqs Karne Ka Mila Hukm Jo Dariyaon Mein
Sadma To Hai Mujhe Bhi Ki Tujhse Juda Hun Main
Sham K Sanwale Chehre Ko Nikhra Jaye
Tum Pucho Aur Main Na Bataun Aise To Halat Nahin
Tumhari Anjuman Se Uth K Diwane Kahan Jate
Tune Ye Phul Jo Zulfon Mein Laga Rakha Hai
Ulfat Ki Nai Manzil Ko Chala, Tu Banhen Dal K Banhon Mein
Wafa K Shish Mahal Mein Saja Liya Main Ne
Wo Dil Hi Kya Tere Milne Ki Jo Dua Na Kare
Yaro Kisi Qatil Se Kabhi Pyar Na Mango
Ye Mojaza Bhi Muhabbat Kabhi Dikhaye Mujhe
Yon Lage Dost Tera Mujhse Khafa Ho Jana
Yun Chup Rahna Thik Nahin Koi Mithi Bat Karo
Zindagi Mein To Sabhi Pyar Kiya Karte Hain
Subscribe to:
Posts (Atom)
" Very Very Nice "
ReplyDeleteI Like These Very Much