National Anthem of Pakistan
Aziz Mian Qawal
Tasuver Khannam, Sings Parveen Shakir
Mussarat Nazeer [Mera Laung Guwacha]
Parveen Shakir
Sahir Ludhyani
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hia
K jese tujh ko banaya gaya hai mere lye
Tu ab se pehle sitaron mian bas rahi thi kahin
Tujhay zameen pe bulaya gaya hai mere lye
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai
K ye badalti nigahen mere amanat hain
Ye geso’on ki ghani chaon hain mere khatir
Ye hont or ye banhen mere amanat hain
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai
K jese bajti hai shehnaiyan se rahon main
Suhaag raat hai ghonghat utha raha hon main
Simat rahi hai tu sharma k apni bahon main
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai
K jese tu mujhay chahe gi umer bhar yun hi
K lute gi mere taraf pyar ki nazar yun hi
Main janta hon tug her hai magar yun hi
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai
Parveen Shakir
Ruki hue hai abhi tak bahaar ankhon main
Shab-e-wisaal ka jese khumaar ankhon main
Mita sake gi isse gard-e-mah-o-saal kahan
Khinchi hue hai jo tasweer-e-yaar ankhon main
Bus ik shab ki musafat thi or ab tak hai
Ma-o-najoom ka saara ghubaar ankhon main
Hazaar sahib raksh saba mizaaj aaye
Basa hua hai wohi she sawaar ankhon main
Wo aik tha pe is ko jab tahe talwaar
To bat gaya wohi chehra hazaar ankhon main
A Friend said...
teri duwa say kaza badal to nahi sakti
magar hey iss say yeh mumkin kay tu badal jaye
teri duwa hay kay ho teri arzoo poori
meri duwa hay teri arzoo badal jaye
dil say jo baat nikle asar rakhti hai
par nahin taqat-e-parvaz magar rakhti hai
Dil me yaadon ki tarha, aankhon me aansu ki tarha,
Tum mere paas ho, phoolon me khushbu ki tarha
Yun tho syed bhi ho, Mirza bhi ho, Afghan bhi ho
Tum sabhi kuch ho batao kya musalman bhi ho
Teri dua se kaza to badal nahi sakti
magar hai is se yeh mumkin ke tu badal jaye
Teri dua hai ke ho teri Aarzoo poori
Meri dua hai teri Aarzoo badle yaye.
chehray pe jo surkhi nazar aati hai sar e sahm
yaa ghaza hai ya saghar o meena ki karamat
...Iqbal
kabhi ai haqeeqat-husan nazar aa libaas-e-majaaz me
keh hazaaron sajday tarrap rahey hain meri jabeen-e-nayaz me
dum e tauf kirmak e shamma ne yeah kaha woh asar kohan
na meri hikayat e soz main na teri hadees e gudaaz main
na kaheen jahaN main amaaN mili jo amaaM mili to kahaN mili
meray jurm e khana kharab ko teray afv e bunda nawaaz main.
jo main sar-ba-sajdah huwa kabhi, to zameen se aane lagi sada
tera dil to hai sanam-aashna tujhey kia milay ga namaz may
Kia Ruksat Yaar Ki Ghari Thi..!!
Hansti Howe Raat Roo Pari Thi..!!
Hum Khud Hi Howey Tabah Warna..!!
Duniya Ko Hamari Kya Pari Thi..!!
Yeah Zakhm Hein Un Dinoo Ki Yadein ..!!
Jab Aaap say Dosti Bari Thi..!!
Jatey Toa Kider Ko Teray Wehshi..!!
Zanjeer-e-Junoon Karri Pari Thi..!!
Dare’ozar-e-Ghir Hayaat Bann Kar..!!
Duniyaa Teri Raah Mein Khari Thi..!!
Ghum Thay Kay Faraz Aan’diyaan Thein..!!
Dil Tha Kay Faraz Pan’kari Thi,,!!
Kuchh Na Kisi Se Bolenge,
Tanhayi Mein Ro Lenge,
Hum Berehbaron Ka Kya,
Saath Kisi Ke Ho Lenge,
Khud To Hue Ruswa Lekin,
Tera Bhed Na Kholenge,
Jeevan Zeher Bhara Saagar,
Kab Tak Amrit Gholenge,
Neend To Kya Aayegi ‘Faraz’
Maut Aayi To So Lenge...
Barson ke baad dekha ek shakhs dilruba sa,
ab zehen mein nahi hia par naam tha bala sa,
abaroo khinche khinche se aankhein jhuki jhuki si,
baatein ruki ruki si lehja thaka thaka sa,
alfaaz the ke jugnoo aawaz ke safar mein,
ban jaaye jangalon mein jis tarah raasta sa,
Khwaabon mein khwaab uske yaadon mein yaad uski,
neendon mein ghul gaya ho jaise ke rattjaga sa,
Pehle bhi log aaye kitne hi zindagi mein,
wo har tarah se lekin auron se tha juda sa,
Agli mohabbatone wo na-muraadiyan di,
taaza rafaqatonse dil tha dara dara sa,
Kuchh ye ke muddaton se kam bhi nahi the roye,
kuch zeher mein bujha tha ehbaab ka dilasa,
Phir yun hua ke saawan aankhon mein aa base the,
phir yun hua ke jaise dil bhi tha aabala sa,
Ab sach kahein to yaaron humko khabar nahi thi,
ban jayega qayamat ek waaqeya zara sa,
Tevar the berukhi ke andaaz dosti ke,
wo ajnabi tha lekin lagta tha aashna sa,
Hum dasht the ke dariya hum zeher the ke amrit,
naahaq tha zonum humko jab wo nahi tha pyaasa,
humne bhi usi ko dekha.. kal shaam ittefaaqan,
apna bhi haal hai ab logo ‘faraz’ ka sa...
August 26, 2009 5:29 PM
A Friend said...
Main mar mita to woh samjha ye inteha thi meri
Usay khabar he na thi, khak keemya thi meri
Main chup howa to woh samjha k baat khatm hovee
Phir uss k baad to awaz jabaja thi meri
Jo taana zan tha meri pooshashe dareedah par
Usi k dosh pe raki hovee quba thi meri
Main uss ko yaad karoon bhi to yaad ata nahi
Main uss bhool gya hoon yahi saza thi meri
Shikast de gya apna guroor he ussko
Wagerna uss k muqabil bisaat kia thi meri
Kahee dimagh kahee dil kahee badan he badan
Har ekse dosti yaari juda juda thi meri
Main uss ko dekta rahta tha hairato se Faraz
Ye zindagi se taaruff ki ibtedaa thi meri
wO Gaya tO Saath Hii Ley Gya Sabhi Rang Utaar Kay Shehar Ka
kOii Shakhs Tha Meray Shehar Mein Kisi dOor Paar Kay Shehar Ka
Chalo kOii Dil tO Udaas Tha, ChalO kOii Aankh tO Num Rahii
ChalO kOii Dar tO KhUla Raha Shab e InteZaar Kay Shehar Ka
Ye jO Main Nay Tazza Ghazal Kahi, sO hAi Nazr Ehal e FiraaQ Kii
K Na Mil Saka kOii Nama-Bar mUjhey Meray Yaar Kay Shehar Ka
sO Matta e jAan kO Liye hOye Palat Aaye Teray Garifta Dil
Kisay Baichtay K Milla Nahien kOii Aitbaar Kay Shehar Ka
Meray Tarz e NaGhma Saraaii Say kOii BaGhbaan Bhi tO KhUsh Nahi
Yeh Mera Mizaaj hAi Kya KarOn K hOn Main Bahaar Kay Shehar Ka
Kissi Aur dAis kii Oarr kO sUna hAi “Faraz” Chala Gaya
Sabhi dUkh Samait Kay Shehar Ka Sabhi Qarz Utaar Kay Shehar Ka
Qurbaton mein bhi judai k bahaney mangey
dil woh be mahar k roney k bahaney mangey
Hum nann hotey to kisi aur k chahrchey hotey
Khlqate Khuda to kehney ko fasaney mangey
Yehi dil tha k tarasta tha marasim k liye
Abb yehi tarke tualuq k bahaney mangey
apna yeh hal k g har chukey lut bhi chukey
muhabbat wohi andaz puraney mangey
Dil kisi hal p qane hi nheen jan-e- Faraz
mil gaye tum bhi to kia aur najaney
August 26, 2009 5:30 PM
Abr o baraan hi na thay behr ki yorish main shareek
dukh to ye hai k hai mallah bhi sazish main shareek
ta hamain tark e taaluq ka bohat ranj na ho
aao tum ko bhi karain ham isi koshish main shareek
ik to wo jism tilismaat ka ghar lagta hai
us pe hai neeiyat e khaayat bhi poshish main shareek
sari khalqat chali aati hai ussay daikhne ko
kya karay dil bhi k duniya hai sifarish main shareek
itna sharmindah na kar apnay gunahgaroon ko
aaye khuda tu bhi raha hai meri khwahish main shareek
lafz ko phool banana to karishma hai Faraz!
ho na ho koi to hai teri nigarish main shareek
Anonymous said...
Faqeehé Shahr nay kaaghaz ki kashtiaañ day kar
Samandaroñ ke safar par kiyaa ravaanah hamayñ
August 26, 2009 12:41 PM
her zaghum ko seenay peh saja laite hein
her dard ko hum dil mein basa laite hein
tum pholoon peh soutay ho tu dukhta hai badan
hum kantoon ko aankhoon se laga laite hein
...Ahmed Faraz
Unglian aaj bhi isi soch main ghum hain Faraz
Us ne kesay naye haath ko thaama ho ga
...Ahmed Faraz
Kuch hum say kaha hota kuch hum say suna hota,
garoon say kaha tum nay, gairoon say suna hum nay
Kiya rukhsat-e-yaar ki ghari thi
Hansti hoi raat rou pari thi.........
Hum khud hi hoye tabah warna
Dunya ko hamari kiya pari thi
Yeh zakhm hain unn dino kay
Jubb aap say dosti bari thi
Jatay kidher ko terey wehshi
Zangeer-e-junoon kari pari thi
Gham thay keh Faraz andhiyan thein
Dil tha keh Faraz pankhari thi
...Ahmed Faraz
Gham-e-hayat ka jhagra mita raha ha koe
Chale aao k duniya se ja raha ha koe,
Azal se kheh do k ruk jae do gheri
Suna ha aane ka wada nibha raha ha koe,
Wo es naaz se baithay hain laash k paas
Jase rothay hoay ko mna raha ha koe,
Palat ker na a jayain saansen nebzon me
Itne haseen hathon se mayyat saja raha ha koe!
August 26, 2009 5:27 PM
A Friend said...
Tuje kia kahon mein a zindagi
Terai ik pal ke khabar nain
Ma’n yakeen karoon be tou kis tara
Teri shab ke koi khabar nain
Bara Maza hou ke meshir main hum karain shikwa
Wo masee’un se khain chup rao khuda ke lia
Roz Ata Hai wo Meri Kabar Pe Raqeeb K saath Faraz
Kon Kehta Hai K Muslamaan Ko Jalaya Nahi Jata?
Nazar bujhi tu karishmey bhi roz-o-shab ke gaye.
ke abb talakk nahi Aaaye hain loog jabb ke gaye.
Sunneigaa koun teri Bewafaaiyoon key gilley.
yahi hay rasm-e-zamana tu ham bhi ab ke gaye.
maggar kissi ne hamein ham-saffar nahi jaana.
yeh awar baat ke ham saath saath sab ke gaye.
abb aaye ho tuo yahaan kia hay dekhney ke lie.
ye sheher kab se hay weeran wo log kab ke gaye.
gariftaa dil the maggar houslaa naa haara tha.
gariftaa dil hain maggar houssley bhi ab ke gaye.
tum apni shamma tammana ko ro rahe ho faraz.
in andhiyoon main tu pyare charagh sab ke gaye.
-------------------------------------------------
Aankhon mein sitaare to kayi shaam se utrey
Par dil ki udaasi na dar-o-baam se utrey
Kuch rang to ubhrey teri gul pairhani ka
Kuch zang to aayina-e-ayyam se utrey
Hotey rahey dil lamha ba lamha teh-o-bala
Woh zeena ba zeena barey araam se utrey
Jab tak tere qadmon mein farukash hain sabukash
Saqi khat-e-baada lab-e-jaam se utrey
Be-tama nawazish bhi nahi sang dilon ki
Shaayed woh mere ghar bhi kisi kaam se utrey
Auron ki qaseeday faqat aaward they janaan
Jo tujh pe kahey shair woh ilhaam se utrey
Ae jaan-e-Faraz ae mere har dukh ke maseeha
Har zeher zamaane ka tere naam se utrey!
Guzar Gya WO Zamana K Jab Hum Talabgaar They Tery Faraz
Ab Tu Kabah B Ho Ja To Sajda Na Kerain Gey
Agar manzil juda hai to jane do mujhko faraz
Lout k kab aaoge pochte qu'n ho
Fraz ishq ki dunya tu buhat hoobsoorat thi
Ye kis nai fitna-e- hijr-o- wisal rakha hai
har nya ishq nya zaiqa rakhta hai fraz
aaj kal phir tairi ghazlo’n ki ada aur lagi
Usne sukoot-e-shab mein bhi apna payaam rakh diya
Hijr ki raat baam per maah-e-tamaam rakh diya
Aamad-e-dost ki naveed koo-e-wafa mein garm thi
Meine bhi ik charagh sa dil sar-e-shaam rakh diya
Shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-maikashi rahi
Usne jo phair li nazar meine bhi jaam rakh diya
Usne nazar nazar mein he aisay bhalay sukhan kahey
Meine to uske paaon mein saara kalaam rakh diya
Dekho woh merey khwaab thay dekho yeh mere zakhm hain
Meine to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diya
Ake bahaar ne bhi keen aisi shararatein ke bus
Kubk-e-Dari ki chaal mein tera khiraam rakh diya
Jo bhi mila usi ka dil halqa baghosh-e-yaar tha
Usne to saaray shehr ko karke ghulaam rakh diya
Aur faraz chahiyein kitni mohabbatein tujhe
Maaon ne tere naam pe bachoon ka naam rakh diya
September 11, 2009 2:01 PM
Anonymous said...
Hum Khud Hi Howey Tabah Warna..!!
Duniya Ko Hamari Kya Pari Thi..!!
Yeah Zakhm Hein Un Dinoo Ki Yadein ..!!
Jab Aaap say Dosti Bari Thi..!!
Jatey Toa Kider Ko Teray Wehshi..!!
Zanjeer-e-Junoon Karri Pari Thi..!!
Dare’ozar-e-Ghir Hayaat Bann Kar..!!
Duniyaa Teri Raah Mein Khari Thi..!!
Ghum Thay Kay Faraz Aan’diyaan Thein..!!
Dil Tha Kay Faraz Pan’kari Thi,,!!
Kuchh Na Kisi Se Bolenge,
Tanhayi Mein Ro Lenge,
Khud To Hue Ruswa Lekin,
Tera Bhed Na Kholenge,
Jeevan Zeher Bhara Saagar,
Kab Tak Amrit Gholenge,
Neend To Kya Aayegi ‘Faraz’
Maut Aayi To So Lenge...
Barson ke baad dekha ek shakhs dilruba sa,
ab zehen mein nahi hia par naam tha bala sa,
abaroo khinche khinche se aankhein jhuki jhuki si,
baatein ruki ruki si lehja thaka thaka sa,
alfaaz the ke jugnoo aawaz ke safar mein,
ban jaaye jangalon mein jis tarah raasta sa,
Khwaabon mein khwaab uske yaadon mein yaad uski,
neendon mein ghul gaya ho jaise ke rattjaga sa,
Pehle bhi log aaye kitne hi zindagi mein,
wo har tarah se lekin auron se tha juda sa,
Agli mohabbatone wo na-muraadiyan di,
taaza rafaqatonse dil tha dara dara sa,
Kuchh ye ke muddaton se kam bhi nahi the roye,
kuch zeher mein bujha tha ehbaab ka dilasa,
Phir yun hua ke saawan aankhon mein aa base the,
phir yun hua ke jaise dil bhi tha aabala sa,
Ab sach kahein to yaaron humko khabar nahi thi,
ban jayega qayamat ek waaqeya zara sa,
Tevar the berukhi ke andaaz dosti ke,
wo ajnabi tha lekin lagta tha aashna sa,
Hum dasht the ke dariya hum zeher the ke amrit,
naahaq tha zonum humko jab wo nahi tha pyaasa,
humne bhi usi ko dekha kal shaam ittefaaqan,
apna bhi haal hai ab logon ‘faraz’ ka sa...
Main mar mita to woh samjha ye inteha thi meri
Usay khabar he na thi, khak keemya thi meri
Main chup howa to woh samjha k baat khatm hovee
Phir uss k baad to awaz jabaja thi meri
Jo taana zan tha meri pooshashe dareedah par
Usi k dosh pe raki hovee quba thi meri
Main uss ko yaad karoon bhi to yaad ata nahi
Main uss bhool gya hoon yahi saza thi meri
Shikast de gya apna guroor he ussko
Wagerna uss k muqabil bisaat kia thi meri
Kahee dimagh kahee dil kahee badan he badan
Har ekse dosti yaari juda juda thi meri
Main uss ko dekta rahta tha hairato se Faraz
Ye zindagi se taaruff ki ibtedaa thi meri
Hum nann hotey to kisi aur k chahrchey hotey
Khlqate Khuda to kehney ko fasaney mangey
Yehi dil tha k tarasta tha marasim k liye
Abb yehi tarke tualuq k bahaney mangey
apna yeh hal k g har chukey lut bhi chukey
muhabbat wohi andaz puraney mangey
Dil kisi hal p qane hi nheen jan-e- Faraz
mil gaye tum bhi to kia aur najaney
Anonymous said...
Abr o baraan hi na thay behr ki yorish main shareek
dukh to ye hai k hai mallah bhi sazish main shareek
ta hamain tark e taaluq ka bohat ranj na ho
aao tum ko bhi karain ham isi koshish main shareek
ik to wo jism tilismaat ka ghar lagta hai
us pe hai neeiyat e khaayat bhi poshish main shareek
sari khalqat chali aati hai ussay daikhne ko
kya karay dil bhi k duniya hai sifarish main shareek
itna sharmindah na kar apnay gunahgaroon ko
aaye khuda tu bhi raha hai meri khwahish main shareek
lafz ko phool banana to karishma hai Faraz!
ho na ho koi to hai teri nigarish main shareek
Anonymous said...
Mir Taqi Mir
"nazuki uske lab ki kya kahiye
pankhadi ik ghulaab ki si hai"
"yeh jo mohlat jise kahain hai hum
dekho to intzaar sa hai kuch"
"raikhte ke sirf tumhi nahin ho ustad Ghalib
suna hai agle zamane main koi Mir bhi tha"
bikhre hai zulf, us rukh e aalam faroz par
varna, banaav hove na din aur raat ka"
"uske farog e husn se, jhamke hai sub main noor
sham- e- haram ho yaan ke diya Somnath ka"
"mazhab se mere kya tujhe, tera dayar aur
main aur, yaar aur, mera kaarobaar aur"
dekh to, dil ke jaan se uthta hai
ye dhuan sa kahan se uthta hai
gor diljale ki hai ye falak
shola ik subha yaan se uthta hai
khana e dil se zeenhara se na ja
koi aise makaan se uthta hai
yoon uthe aah us gali se hum
jaise koi jahan se uthta hai
"hain aur bhi duniya main sukhanwar bahut achche
kehte hain ki ghalib ka hai andaaz i bayan aur"
"Mir dariya hai, sune sheyr zabaani uski
allah allah re tabiyat ki ravani uski"
is simt bhi dekhun nazar aataa hai ke tum ho
Ai jaan-e-jahan ye koi tum saa hai ke tum ho
Ye khwaab hai khushbuu hai ke jhonka hai ke pal hai
Ye dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho
Ik dard ka phailaa hua sehra hai ke main hun
Ik mauj mein aayaa huaa dariya hai ke tum ho;
Tu paas bhi ho to dil beqaraar apna hai
Ke hum ko tera nahin intazaar apna hai
Mile koi bhi tera zikr chhed deta hai
Ke jaise saaraa jahaa raazdaar apna hai;
Us ko juda hue bhi zamana bahut huaa
Ab kyaa kahein ye qissa purana bahut huaa
Ab kyon na zindagi pe muhabbat ko vaar dein
Is aashiqi mein jaan se jaanaa bahut huaa
Ab tak to dil ka dil se taarruf na ho sakaa
Mana ki us se milnaa-milaanaa bahut huaa;
In baarishon se dosti achchi nahi 'Faraz'
Kachcha tera makaan hai kuch to khayal kar;
Tum bhi khafa ho log bhi bereham hain dostou
Ab ho chala yakin ke bure hum hain dostou
Karun na yaad agar kis tarah bhulaun usee
Ghazal bahana karun aur gungunau usee;
Is se pehle ke hum bewafa ho jaayein
Kyon na ai dost hum juda ho jaayein;
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
Aa phir se mujhe chor ke jaane ke liye aa
Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
Rasm-o-reh-e-duniya hi nibhane ke liye aa
Kis-kis ko batayenge judaai ka sabab hum
Tu mujhse khafa hai to zamaane ke liye aa
Ab tak dil-e-khushfaham ko tujh se hain ummeedein
Yeh aakhari kshamme bhi bujhaane ke liye aa
September 3, 2009 2:18 PM
A Friend said...
Ajnabi kaun ho tum jab se tumhe dekha hai
Saari duniya meri aankhon mein simat aayi hai
Tum to har geet mein shamil the tarannum banke
Tum mile ho mujhe phoolon ka tabassum banke
Aisa lagta hai ke barso'n se shanaas aayi hai
Khwaab ka rang haqeqat mein nazar aaya hai
Dil mein dhadkan ki tarah koi utar aaya hai
Aaj har saans mein shehnai si lehraayi hai
Koi aahat si andheron mein chamak jaati hai
Raat aati hai tanhaayi mehak jaati hai
Tum mile ho k ya muhabbat ne ghazal gaayi hai
.
Iqbal says
‘Saman ke mohabbat mein muzmir hai tan asani
Manzoor agar manzil hai gharit gara-e-saman ho’
"Jo bhi bichhare hain kab mile hain 'Faraz'
Phir bhi tu intazaar kar shaayad "
[Ahmed Faraz]
"Ye na thi hamaari qismat ke visaal-e-yaar hota
Agar aur jeete rehte yahi intazaar hota"
[Ghalib]
"Umr-e-daraaz maang kar laaye the chaar din
Do aarzu mein kat gaye do intazaar mein"
[Bhadar shah zafar]
"Gazab kiyaa, tere vaade pe aitabaar kiyaa
Tamaam raat qayaamat kaa intazaar kiyaa"
[Daag Dehlvi]
Shab-e-intazaar ki kash-ma-kash na puuch kaise sahar hui
Kabhi ik chiraag jalaa diyaa kabhi ik chiraag bujhaa diyaa
[Majrooh Sultanpuri]
Be-khudi le gai kahaan hum ko
Der se intazaar hai apnaa
[Meer Taqi Meer]
Teri raahon mein baarahaa ruk kar
Hum ne apnaa hi intazaar kiyaa
[Gulzar]
Mujh ko ye aarzuu vo uthaayen naqaab khud
Un ko ye intazaar taqaazaa kare koi
[Majaz]
Tum aaye ho na shab-e-intazaar guzari hai
Talaash mein hai sahar baar-baar guzari hai
[Faiz Ahmad Faiz]
Na koi vaadaa na koi yaqin na koi ummeed
Magar hamein to tera intazaar karanaa tha
[Firaq Gorakhpuri]
Main zinda tha ki tera intazaar khatm na ho
Jo tu milaa to ab sochtaa hun mar jaaun
[Ahmed Nadeem Qasmi]
Tamaam umr teraa intazaar ham ne kiyaa
Is intazaar mein kis kis se pyaar ham ne kiyaa
[Hafiz Hoshiarpuri]
"Sunte Hain Ki Mil Jaati Hai Har Cheez Dua Se
Ik roz tumhein maang ke dekhenge Khuda se
Tum saamne hote ho to hai kaif ki baarish
Vo din bhi the jab aag barasti thi ghata se
Ai dil tu unhein dekh ke kuch aise tarapana
Aa jaaye hansi un ko jo baithe hain khafa se
Duniya bhi mili hai gam-e-duniya bhi mila hai
Vo kyon nahi milta jise maanga tha Khuda se"
[sung by habib wali mohammad]
A Friend said...
Sunte Hain Ki Mil Jaati Hai Har Cheez Dua Se
Ik roz tumhein maang ke dekhenge Khuda se
Tum saamne hote ho to hai kaif ki baarish
Vo din bhi the jab aag barasti thi ghata se
Ai dil tu unhein dekh ke kuch aise tadapana
Aa jaaye hansi un ko jo baithe hain khafa se
Duniya bhi mili hai gam-e-duniya bhi mila hai
Vo kyon nahi milta jise maanga tha Khuda se
beqaraarii sii beqaraarii hai
ReplyDeletedin bhii bhaarii hai raat bhaarii hai
zindagii kii bisaat par aksar
jiitii baazii bhii ham ne haarii hai
to.Do dil meraa shauq se to.Do
chiiz merii nahii.n tumhaarii hai
baar-e-hastii uThaa sakaa na ko_ii
ye Gam-e-dil jahaa.N se bhaarii hai
aa.Nkh se chhup ke dil me.n baiThe ho
haa_e kaisii ye pardaa-daarii hai
..Tabish Dehlvi
ham tujh se kis havas kii falak justajuu kare.n
ReplyDeletedil hii nahii.n rahaa hai jo kuchh aarazuu kare.n
miT jaaye.n ek aan me.n kasarat namayaa.N
ham aa_iine ke saamane aa kar jo huu kare.n
taar-daamani pe sheiKh hamaarii na jaa_iio
daaman nicho.D de.n to farishte vazuu kare.n
sar taa qadam zabaa.N hai juu.N shamaa go ke ham
par ye kahaa.N majaal jo kuchh guftaguu kare.n
har cha.nd aa_iinaa huu.N par itanaa na qabuul
muu.Nh pher le vo jisake mujhe ruu-ba-ruu kare.n
ne gul ko hai sabaat ne ham ko aitabaar
kis baat par chaman havas-e-rang-o-buu kare.n
hai apanii ye salaah ke sab zahidaan-e-shahar
ai "Dard" aa ke bet-e-dast-e-sabuu kare.n
__Mir Dard
jag me.n aakar idhar udhar dekhaa
ReplyDeletetuu hii aayaa nazar jidhar dekhaa
jaan se ho gaye badan Khaalii
jis taraf tuune aa.Nkh bhar ke dekhaa
naalaa fariyaad aah aur zaarii
aap se ho sakaa so kar dekhaa
un labo.n ne kii na masihaa_ii
ham ne sau -sau tarah se mar dekhaa
zor aashiq mizaaj hai ko_ii
"Dard" ko qisaa-e-muKhtasar dekhaa
__Mir Dard
meraa jii hai jab tak terii justajuu hai
ReplyDeletezabaan jab talak hai yahii guftaguu hai
Khudaa jaane kyaa hogaa a.njaam is kaa
mai.n besabar itanaa huu.N wo tu.nd Khuu hai
tamannaa hai terii agar hai tamannaa
terii aarazuu hai, agar aarazuu hai
kiyaa sair hamane gulzaar-e-duniyaa
gul-e-dostii me.n ajab rang-o-buu hai
Ganimat hai ye diid waa diid-e-yaaraa.N
jahaa.N mu.nd gayii aa.Nkh, mai.n huu.N na tu hai
nazar mere dil ki pa.Dii "dard" kis par
jidhar dekhataa huu.N wahii ruu-ba-ruu hai
__Mir Dard
tum aaj ha.Nsate ho ha.Ns lo mujh par ye aazamaaish naa baar baar hogii
ReplyDeletemai.n jaana taa huu.N mujhe Khabar hai ki kal fazaa Khushagavaar hogii
rahe muhabbat me.n zindagii bhar rahegii ye kashamakash baraabar
naa tumako qurabat me.n jiit hogii naa mujhako furaqat me.n haar hogii
hazaar ulfat sataaye lekin mere iraado.n se hai ye mumakin
agar sharaafat ko tumane chhe.Daa to zindagii tum pe vaar hogii
__Mir Dard
tuune yuuN dekhaa hai jaise kabhii dekhaa hii na thaa
ReplyDeletemaiN to dil meN tere qadmoN ke nishaaN tak dekhuuN