Bait^Bazi






alif [ا ]

alif_
Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay
Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay


Aakhri hichki teray zaano pay aayey, 
Maut bhi main shayraana chahta hoon ! 


Aisa kahin na ho ke palaTakar na a sakuuN
Har bar duur ja ke sadayen mujhe na do

Ik dard ka phaila hua sehra hai k main hoon !
Ik mauj mein aaya hua darya hai k tum ho !


Is deed ki saa'at mein kaee rang hain larzaa(n)
Main hoon k koi aur hai, duniya hai k tum ho !


Aabaad ham aashufta-saron se nahi maqtal
Ye rasm bhi is shehr mein zinda hai k tum ho

Aai jaan-e-Faraaz ! itni bhi taufeeq kise thi
Ham ko gham-e-hasti bhi gavaara hai k tum ho !

Ankh se door na ho dil se uter jaye ga
waqt ka kiya hai guzarta hai guzar jaye ga

itna manoos na ho khulot-e-gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhay ga tu dar jaye ga

AB USE LOOG SAMJHTE HAIN GIRAFTAR MERA
SAKHT NADIM HAI MUJHE DAAM MAI LANEY WALA

اگر کھو گيا اک نشيمن تو کيا غم
مقامات آہ و فغاں اور بھي ہيں

اسي روز و شب ميں الجھ کر نہ رہ جا
کہ تيرے زمان و مکاں اور بھي ہيں

اٹھو ! مري دنيا کے غريبوں کو جگا دو
کاخ امرا کے در و ديوار ہلا دو



Ai dil tu unhein dekh ke kuch aise tadapana
Aa jaaye hansi un ko jo baithe hain khafa se

Ajnabi kaun ho tum jab se tumhe dekha hai
Saari duniya meri aankhon mein simat aayi hai

Ab tak dil-e-khushfaham ko tujh se hain ummeedein
Yeh aakhari kshamme bhi bujhaane ke liye aa

is simt bhi dekhun nazar aataa hai ke tum ho
Ai jaan-e-jahan ye koi tum saa hai ke tum ho

Ik dard ka phailaa hua sehra hai ke main hun
Ik mauj mein aayaa huaa dariya hai ke tum ho;

Ab kyon na zindagi pe muhabbat ko vaar dein
Is aashiqi mein jaan se jaanaa bahut huaa

In baarishon se dosti achchi nahi 'Faraz'
Kachcha tera makaan hai kuch to khayal kar;

Ab tak to dil ka dil se taarruf na ho sakaa
Mana ki us se milnaa-milaanaa bahut huaa;

Ab kyon na zindagi pe muhabbat ko vaar dein
Is aashiqi mein jaan se jaanaa bahut huaa


itna sharmindah na kar apnay gunahgaroon ko
aaye khuda tu bhi raha hai meri khwahish main shareek

ik to wo jism tilismaat ka ghar lagta hai
us pe hai neeiyat e khaayat bhi poshish main shareek

Abr o baraan hi na thay behr ki yorish main shareek
dukh to ye hai k hai mallah bhi sazish main shareek

apna yeh hal k g har chukey lut bhi chukey
muhabbat wohi andaz puraney mangey


Ab sach kahein to yaaron humko khabar nahi thi,
ban jayega qayamat ek waaqeya zara sa,

Agli mohabbatone wo na-muraadiyan di,
taaza rafaqatonse dil tha dara dara sa,

alfaaz the ke jugnoo aawaz ke safar mein,
ban jaaye jangalon mein jis tarah raasta sa,

abaroo khinche khinche se aankhein jhuki jhuki si,
baatein ruki ruki si lehja thaka thaka sa,

Aur faraz chahiyein kitni mohabbatein tujhe
Maaon ne tere naam pe bachoon ka naam rakh diya

Ake bahaar ne bhi keen aisi shararatein ke bus
Kubk-e-Dari ki chaal mein tera khiraam rakh diya

Aamad-e-dost ki naveed koo-e-wafa mein garm thi
Meine bhi ik charagh sa dil sar-e-shaam rakh diya

Agar manzil juda hai to jane do mujhko faraz
Lout k kab aaoge pochte q ho

Ae jaan-e-Faraz ae mere har dukh ke maseeha
Har zeher zamaane ka tere naam se utrey!

Auron ki qaseeday faqat aaward they janaan
Jo tujh pe kahey shair woh ilhaam se utrey

Aankhon mein sitaare to kayi shaam se utrey
Par dil ki udaasi na dar-o-baam se utrey


abb aaye ho tuo yahaan kia hay dekhney ke lie.
ye sheher kab se hay weeran wo log kab ke gaye.

Azal se kheh do k ruk jae do gheri
Suna ha aane ka wada nibha raha ha koe,


Aesay dastoor ko, sübhé bay-noor ko,
maeñ naheeñ jaanta, maeñ naheeñ maanta
...Habeeb Jallab





Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay


Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay


Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh
Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay

[Faiz]
be [ب]
be_
Be-khudi le gai kahaan hum ko
Der se intazaar hai apnaa
[Meer Taqi Meer]

bol k lab azad hain tere
bol,zaban ab tak teri hai


bhari duniya me jee nahi lagta
ganay kis chez ki kami hai abi









pe [پ] 











te [ت]
tum sar-e-rah-e-wafa dekhtay reh jaoo gay
aur woh baam-e-rafaqat se uter jaye ga

طرب آشنائے خروش ہو، تو نوا ہے محرم گوش ہو
وہ سرود کيا کہ چھپا ہوا ہو سکوت پردئہ س


تو بچابچا کے نہ رکھ اسے، ترا آئنہ ہے وہ آئنہ
کہ شکستہ ہو تو عزيز تر ہے نگاہ آئنہ ساز ميں


TEREY HOTEY HOE AJATI THI SARI DUNYA
AAJ TANHA HOO TU KOI NAHE AANEY WALA



tum nahaq tukrey chun chun kar
daaman mein chupaaye bethey ho
sheeshon ka maseeha koi nahi
kya aas lagaye bethey ho











ta [ٹ]  
Tu mohabbat se koi chaal to chal
Haar jaane ka hosla hai mujhe




se [ث]




jim [ج]




جو ميں سر بسجدہ ہوا کبھي تو زميں سے آنے لگي صدا
ترادل تو ہے صنم آشنا، تجھے کيا ملے گا نماز ميں


Jo zahar pi chuka huuN tumhin ne mujhe diya
Ab tum to zindagi ki duayen mujhe na do




Jo Hum Pay Guzri So Guzri Magar Shab-e-Hijraan
Humare Ashk Teri Aqbat sanwaar chalay [Faiz]



جب عشق سکھاتا ہے آداب خود آگاہي
کھلتے ہيں غلاموں پر اسرار شہنشاہي


Jo bhi bichhare hain kab mile hain 'Faraz'
Phir bhi tu intazaar kar shaayad "


Jis samt bhi dekhoon nazar aata hai k tum ho !
Aai jaan-e-jahaa(n) ! ye koi tum sa hai k tum ho !
Ghalib...


Jaanta hoon swab-e-tayto zuhad /
Per tabiyat idhar nahin aati


"Gazab kiyaa, tere vaade pe aitabaar kiyaa
Tamaam raat qayaamat kaa intazaar kiyaa"
[Daag Dehlvi]




jab baharon ne berukhi ki hai
zehar se dhoo liye hain hont apne [faiz]






che [چ]
chehray pe jo surkhi nazar aati hai sar e sahm
yaa ghaza hai ya saghar o meena ki karamat
.Iqbal



hai [ح]
Har bazm mein mauzu-e-sukhan, dil-zadgaa(n) ka
Ab kaun hai, Sheereen hai k Laila hai k tum ho !


Hum khud hi hoye tabah warna
Dunya ko hamari kiya pari thi




khe [خ]
Kohkan ho k Qais ho k Faraz
Sab mein ik shakhs hi mla hai mujhe

KIYA KAHAI KITNEY MARASIM THEY HAMAREY US SEY
WOH JO EK SHAKS HAI MOU PHER KEY JAANEY WALA


Kis-kis ko batayenge judaai ka sabab hum
Tu mujhse khafa hai to zamaane ke liye aa

Karun na yaad agar kis tarah bhulaun usee
Ghazal bahana karun aur gungunau usee;





dal [د]
Dekho ye kisi aur ki aankhein hain k meri !
Dekhoon ye kisi aur ka chehra hai k tum ho !

Dil dhaRakta nahi tapakta hai
Kal jo khwahish thi aabla hai mujhe

DOST BAN KAR BHI NAHI SAATH NIBHANEY WALA
WOHI ANDAAZ HAI ZAALIM KA ZAMANEY WALA



دارا و سکندر سے وہ مرد فقير اولي
ہو جس کي فقيري ميں بوئے اسد اللہي


دم طوف کرمک شمع نے يہ کہا کہ وہ اثرکہن
نہ تري حکايت سوز ميں، نہ مري حديث گداز ميں



Duniya bhi mili hai gam-e-duniya bhi mila hai
Vo kyon nahi milta jise maanga tha Khuda se



daal [ڈ]
dobtay dobtay kashti ko uchaala day don
mein nahin koi tu sahil pe uter jaye ga



dil me aik lahr se uthi hai abi
koi taza hawa chali hai abi











zal [ز]
zindagi teray ata hai tu ye jaanay wala
teray bakshish teri dehleez pe dhar jaye ga


Zindagi se yehi gila hai mujhe
Tu bohat dair se mila hai mujhe





re [ر]







arre [ڑ]






zay [ز]







zhe [ژ]







sen [س]


ستاروں سے آگے جہاں اور بھي ہيں
ابھي عشق کے امتحاں اور بھي ہيں
Sunte Hain Ki Mil Jaati Hai Har Cheez Dua Se
Ik roz tumhein maang ke dekhenge Khuda se


shen [ش]
Shola tha jal-bujha huuN havayen mujhe na do
Main kab ka ja chuka huuN sadayen mujhe na do

SUBHA DAM CHORGAY NIKHAT E GUL KI SURAT
RAAT KO GHUNCHA E DIL MA SIMAT AANEY WALA



Shab-e-intazaar ki kash-ma-kash na puuch kaise saher hui
Kabhi ik chiraag jalaa diyaa kabhi ik chiraag bujhaa diyaa
[Majrooh Sultanpuri]



shor burpa hai khanay e dil me
koi diwar se giri hai abi


sher ke be chirag galiun me
zindagi tuj ko duhndti hai abi


[nasir kazmi]


Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay [Faiz]

suad [ص]







zuad [ض]








tua [ط]




TUM TAKALUF KO BHI IKHLAAS SAMJTEY HO FARAZ
DOST HOTA NAHE HAR HAATH MILANEY WALA


Tuum Bun Byn Ke Chilman mein Baithe Rho
Husn Chan Chan Ke Bahir Nikaltai Rahai


تو شاہيں ہے ، پرواز ہے کام تيرا
ترے سامنے آسماں اور بھي ہيں

Tum aaye ho na shab-e-intazaar guzari hai
Talaash mein hai sahar baar-baar guzari hai
[Faiz Ahmad Faiz]


Teri raahon mein baarahaa ruk kar
Hum ne apnaa hi intazaar kiyaa
[Gulzar]


Tamaam umr teraa intazaar ham ne kiyaa
Is intazaar mein kis kis se pyaar ham ne kiyaa
[Hafiz Hoshiarpuri]


Tum saamne hote ho to hai kaif ki baarish
Vo din bhi the jab aag barasti thi ghata se





zoa [ظ]
zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka faraaz
zalim ab ke bhi na roye ga tu mar jaye ga







ain [ع]


عطار ہو ، رومي ہو ، رازي ہو ، غزالي ہو
کچھ ہاتھ نہيں آتا بے آہ سحر گاہي

اے طائر لاہوتي! اس رزق سے موت اچھي
جس رزق سے آتي ہو پرواز ميں کوتاہي



آئين جوانمردں ، حق گوئي و بے باکي
اللہ کے شيروں کو آتي نہيں روباہي



"Umr-e-daraaz maang kar laaye the chaar din
Do aarzu mein kat gaye do intazaar mein"
[Bhadar shah zafar]









ghan [غ]






fe [ف]


qaf [ک]

Koi To Baat Hia Us Main Faiz
Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay!! [Faiz]

Kab mujh ko aiteraf-e-muhabbat na tha `Faraz`
Kab main ne ye kaha tha sazayen mujhe na do


Qafas Udaas hai Yaaro !! Saba Se Kuch Tou Kaho
Kahien Tou Behr-e-Khuda Aaj Zikr-e-Yaar Chalay [Faiz]

کبھي اے حقيقت منتظر نظر لباس مجاز ميں
کہ ہزاروں سجدے تڑپ رہے ہيں مري جبين نياز ميں

قناعت نہ کر عالم رنگ و بو پر
چمن اور بھي آشياں اور بھي ہيں

کھلتے ہيں غلاموں پر اسرار شہنشاہي
عطار ہو ، رومي ہو ، رازي ہو ، غزالي ہو


Khwaab ka rang haqeqat mein nazar aaya hai
Dil mein dhadkan ki tarah koi utar aaya hai

Koi aahat si andheron mein chamak jaati hai
Raat aati hai tanhaayi mehak jaati hai




gaf [گ]
گئے دن کہ تنہا تھا ميں انجمن ميں
يہاں اب مرے رازداں اور بھي ہيں




Guloon mien Rang Bharay Bad-e-Nobahar Chalay
Chalay b aao Kay Gulshan ka Karobaar chalay



lam [ل]





mim [م]


MUNTAZIR KIS KA HOO TOOTI HOI DAHLEEZ PEY MAI
KAUN AAE GA YAHA KAUN HAI AANEY WALA


MAINE DEKHA HAI BAHARO MAI CHAMAN KO CAHALTEY
HAI KOI KHWAB KI TABEER BATLANEY WALA


ميرے ليے مٹي کا حرم اور بنا دو
تہذيب نوي کارگہ شيشہ گراں ہے


Main zinda tha ki tera intazaar khatm na ho
Jo tu milaa to ab sochtaa hun mar jaaun
[Ahmed Nadeem Qasmi]




Mujh ko ye aarzuu vo uthaayen naqaab khud
Un ko ye intazaar taqaazaa kare koi
[Majaz]




Muqaam Faiz koi Raah Mien Jacha hee Nahi
Jo koy-e-Yaar Se Nikle Tou Soy-e-Daar Chalay [Faiz]



nun [ن]
نہ کہيں جہاں ميں اماں ملي، جو اماں ملي تو کہاں ملي
مرے جرم خانہ خراب کو ترے عفو بندہ نواز ميں


نہ وہ عشق ميں رہيں گرمياں،نہ وہ حسن ميں رہيں شوخياں
نہ وہ غزنوي ميں تڑپ رہي، نہ وہ خم ہے زلف اياز ميں

تہي ، زندگي سے نہيں يہ فضائيں
يہاں سينکڑوں کارواں اور بھي ہيں


نوميد نہ ہو ان سے اے رہبر فرزانہ!
کم کوش تو ہيں ليکن بے ذوق نہيں راہي





Na koi vaadaa na koi yaqin na koi ummeed
Magar hamein to tera intazaar karanaa tha
[Firaq Gorakhpuri]






vao [و]
Wo waqt na aaye k dil-e-zaar bhi soche
Is shehr mein tanha koi ham sa hai k tum ho !


choti `he [ہ]









dochashmi -he [ھ]







humza [ک]








choti -ye [ک]
Ye khwaab hai, khushbu hai k jhaunka hai k pal hai
Ye dhund hai, baadal hai k saaya hai k tum ho !


Ye umr-e-gurezaa(n) kahin tthehre to ye jaanoon
Har saans mein mujh ko yehi lagta hai k tum ho !


bari [ے]
Hamsafar chaahiye hujoom nahi
Ik musaafir bhi qaafila hai mujhe






*****************************************



******************************************



*****************************************















----------------------------------------
Hum parwarash-e-loh-o-qalam karte rahenge
Jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge

Asbaab-e-gham-e-ishq baham karte rahenge
Viraani-e-dauraan pe karam karte rahenge

Haan talkhi-e-ayyaam abhi aur barhe gi
Haan ahl-e-sitam mashq-e-sitam karte rahenge

Manzur yeh talkhi yeh sitam hum ko gawaara
Dam hai to madaawa-e-alam karte rahenge

Maikhana salaamat hai to hum surkhi-e-mai se
Tazzain-e-dar-o-baam-e-haram karte rahenge

Baqi hai lahu dil mein to har ashk se paida
Rang-e-lab-o-rukhsar-e-sanam karte rahenge

Ek tarz-e-taghaaful hai so woh unko mubaarak
Ek arz-e-tamanna hai so hum karte rahenge


--------------------------------------------------
Chhinti hui nazron se jazbaat ki dunyaayen
Be khwaabian afsaney betaab tamannayen

Kuchh uljhee hui baten kuchh behke huye naghme
Kuchh ashk jo aankhon se bewajha chhalak jaayen

-------------------------------------------------------
aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
us ke baad aaye jo azaab aaye

baam-e-miinaa se maahataab utare
dast-e-saaqii me.n aaftaab aaye

is tarah apanii Khamashii guu.Njii
goyaa har simt se jawaab aaye

'Faiz' thii raah sar basar ma.nzil
ham jahaa.N pahu.Nche kaamayaab aaye

----------------------------------------------

garmii-e-shauq-e-nazzaaraa kaa asar to dekho
gul khile jaate hai.n vo saayaa-e-dar to dekho

aise naadaa.N to na the jaa.N se guzaranevaale
naasiho, rahabar-o-raahaguzar to dekho

vo to vo hai.n tumhe.n ho jaayegii ulfat mujhase
ek nazar tum meraa mahabuub-e-nazar to dekho

vo jo ab chaak garebaa.N bhii nahii.n karate hai.n
dekhanevaalo kabhii un kaa jigar to dekho

daaman-e-dard ko gulazaar banaa rakhaa hai
aao ek din dil-e-puraKhuu.N kaa hunar to dekho

subah kii tarah jhamakataa hai shab-e-Gam kaa ufaq
"Faiz" taabi.ndagii-e-diidaa-e-tar to dekho


----------------------------------------------------


kabhii-kabhii yaad meN ubharte haiN naqsh-e-maazii miTe-miTe se
vo aazmaaiish dil-o-nazar kii, vo qurbateN sii, vo faasile se

kabhii-kabhii aarzuu ke sehraa meN aa ke rukte haiN qaafile se
vo saarii baateN lagaao kii sii, vo saare unvaaN visaal ke se

nigah-e-yaar ko qaraar kaisaa, nishaat-o-Gham meN kamii kahaaN kii
vo jab milte haiN to unse har baar kii hai ulfat naye sire se

bahut giraaN hai ye aish-e-tanhaa, kahiiN sabuktar, kahiiN gavaaraa
vo dard-e-pinhaaN ke saarii duniyaa rafiiq thii jiske vaaste se

tumhiiN kaho rind-e-mustahib meN ho aaj shab kaun farq aisaa
ye aa ke baiThe haiN mai-kade meN, vo uTh ke aaye haiN mai-qade se


---------------------------------------------------------------


har haqiiqat majaaz ho jaaye
kaafiro.n kii namaaz ho jaaye

minnat-e-chaaraasaaz kaun kare
dard jab jaa.n navaaz ho jaaye

ishq dil me.n rahe to rusavaa ho
lab pe aaye to raaz ho jaaye

lutf kaa intazaar karataa huu.n
jor taa had-e-naaz ho jaaye

umr besood kat rahii hai 'Faiz'
kaash afshaa-e-raaz ho jaaye


----------------------------------------

na gul khile haiN, na unse mile haiN, na mai pii hai
ajab rang meN abke bahaar guzrii hai

guloN meN rang bhare, baad-e-nau-bahaar chale
chale bhii aao ki gulshan kaa karobaar chale

zindagii kyaa kisii muflis kii qabaa hai jis men
har ghaDii dard ke paivand lage jaate haiN

chaman meN Gaarat-e-gulchiiN se jaane kyaa guzrii
qafas se aaj sabaa be-qaraar guzrii hai

terii suurat se hai aalam meN bahaaroN ko sabaat
terii aanKhoN ke sivaa duniaa meN rakhaa kyaa hai

ham parvarish-e-lauH-o-qalam karte rahenge
jo dil pe guzartii hai raqam karte rahenge


******************************************


ا
 
ب
پ
ت
ٹ
ث
ج
چ
ح
خ
د
ڈ
ن
ڑ
ر
ز
ژ
س
ش
ص
ض
ط
ظ
ع
غ
ف
ق
ک
گ
ل
م
ن
و
ہ
ھ
ک
ے



*****************************************
******************************************


19 comments:

  1. shayad tere dil pe nasr kar jay meri bat
    is ka phela misra kia ha

    ReplyDelete
    Replies
    1. اصل مصرع يوں هے
      شايد که تيرے دل ميں اتر جاے ميري بات
      پهلا مسرع يون هے
      انداز بياں گرچه ميرا شوخ نهيں هے

      Delete
    2. andaz e bayan gaeche boht shokh nahi hai

      Delete
  2. ﺍُﺟﮍﮮ ﮨُﻮﺋﮯ ﻟﻮﮔﻮﮞ ﺳﮯ ﮔﺮﯾﺰﺍﮞ ﻧﮧ ﮨُﻮﺍ ﮐﺮ
    ﺣﺎﻻﺕ ﮐﯽ ﻗﺒﺮﻭﮞ ﮐﮯ ﯾﮧ ﮐﺘﺒﮯ ﺑﮭﯽ ﭘﮍﮬﺎ ﮐﺮ

    ﮐﯿﺎ ﺟﺎﻧﯿﮯ ﮐﯿﻮﮞ ﺗﯿﺰ ﮨَﻮﺍ ﺳﻮﭺ ﻣﯿﮟ ﮔﻢ ﮨﮯ
    ﺧﻮﺍﺑﯿﺪﮦ ﭘﺮﻧﺪﻭﮞ ﮐﻮ ﺩﺭﺧﺘﻮﮞ ﺳﮯ ﺍُﮌﺍ ﮐﺮ

    ﺍﺏ ﺩﺳﺘﮑﯿﮟ ﺩﮮ ﮔﺎ ﺗُﻮ ﮐﮩﺎﮞ ﺍﮮ ﻏﻢِ ﺍﺣﺒﺎﺏ
    ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺗﻮ ﮐﮩﺎ ﺗﮭﺎ ﮐﮧ ﻣِﺮﮮ ﺩﻝ ﻣﯿﮟ ﺭﮨﺎ ﮐﺮ

    ﮨﺮ ﻭﻗﺖ ﮐﺎ ﮨﻨﺴﻨﺎ ﺗﺠﮭﮯ ﺑﺮﺑﺎﺩ ﻧﮧ ﮐﺮ ﺩﮮ
    ﺗﻨﮩﺎﺋﯽ ﮐﮯ ﻟﻤﺤﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ ﺭﻭ ﺑﮭﯽ ﻟﯿﺎ ﮐﺮ

    ﻭﮦ ﺁﺝ ﺑﮭﯽ ﺻﺪﯾﻮﮞ ﮐﯽ ﻣﺴﺎﻓﺖ ﭘﮧ ﮐﮭﮍﺍ ﮨﮯ
    ﮈﮬﻮﻧﮉﺍ ﺗﮭﺎ ﺟﺴﮯ ﻭﻗﺖ ﮐﯽ ﺩﯾﻮﺍﺭ ﮔِﺮﺍ ﮐﺮ

    ﺑﺮﮨﻢ ﻧﮧ ﮨﻮ ﮐﻢ ﻓﮩﻤﯽ ﮐﻮﺗﮧ ﻧﻈﺮﺍﮞ ﭘﺮ
    ﺍﮮ ﻗﺎﻣﺖِ ﻓﻦ ﺍﭘﻨﯽ ﺑﻠﻨﺪﯼ ﮐﺎ ﮔِﻼ ﮐﺮ

    ﺍﮮ ﺩﻝ ﺗﺠﮭﮯ ﺩﺷﻤﻦ ﮐﯽ ﺑﮭﯽ ﭘﮩﭽﺎﻥ ﮐﮩﺎﮞ ﮨﮯ
    ﺗُﻮ ﺣﻠﻘﮧﺀ ﯾﺎﺭﺍﮞ ﻣﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﻣﺤﺘﺎﻁ ﺭﮨﺎ ﮐﺮ

    ﻣﯿﮟ ﻣﺮ ﺑﮭﯽ ﭼﮑﺎ، ﻣﻞ ﺑﮭﯽ ﭼﮑﺎ ﻣﻮﺝِ ﮨﻮﺍ ﻣﯿﮟ
    ﺍﺏ ﺭﯾﺖ ﮐﮯ ﺳﯿﻨﮯ ﭘﮧ ﻣِﺮﺍ ﻧﺎﻡ ﻟﮑﮭﺎ ﮐﺮ

    ﭘﮩﻼ ﺳﺎ ﮐﮩﺎﮞ ﺍﺏ ﻣِﺮﯼ ﺭﻓﺘﺎﺭ ﮐﺎ ﻋﺎﻟﻢ
    ﺍﮮ ﮔﺮﺩﺵِ ﺩﻭﺭﺍﮞ ﺫﺭﺍ ﺗﮭﻢ ﺗﮭﻢ ﮐﮯ ﭼﻼ ﮐﺮ

    ﺍِﺱ ﺭُﺕ ﻣﯿﮟ ﮐﮩﺎﮞ ﭘﮭﻮﻝ ﮐﮭﻠﯿﮟ ﮔﮯ ﺩﻝِ ﻧﺎﺩﺍﮞ
    ﺯﺧﻤﻮﮞ ﮐﻮ ﮨﯽ ﻭﺍﺑﺴﺘﮧﺀ ﺯﻧﺠﯿﺮِ ﺻﺒﺎ ﮐﺮ

    ﺍِﮎ ﺭُﻭﺡ ﮐﯽ ﻓﺮﯾﺎﺩ ﻧﮯ ﭼﻮﻧﮑﺎ ﺩﯾﺎ ﻣﺠﮫ ﮐﻮ
    ﺗُﻮ ﺍﺏ ﺗﻮ ﻣﺠﮭﮯ ﺟﺴﻢ ﮐﮯ ﺯﻧﺪﺍﮞ ﺳﮯ ﺭﮨﺎ ﮐﺮ

    ﺍِﺱ ﺷﺐ ﮐﮯ ﻣﻘﺪﺭ ﻣﯿﮟ ﺳﺤﺮ ﮨﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﻣﺤﺴﻦٓ
    ﺩﯾﮑﮭﺎ ﮨﮯ ﮐﺌﯽ ﺑﺎﺭ ﭼﺮﺍﻏﻮﮞ ﮐﻮ ﺑﺠﮭﺎ ﮐﺮ 

    ReplyDelete
  3. AnonymousJuly 25, 2017

    You have done a very good job

    ReplyDelete
  4. abdus salam khan did awesome

    ReplyDelete
  5. I want some where with ط
    Above shers are of ت

    ReplyDelete
    Replies

    1. طرب آشنائے خروش ہو، تو نوا ہے محرم گوش ہو
      وہ سرود کيا کہ چھپا ہوا ہو سکوت پردئہ میں

      Delete
    2. I want a sher start from y

      Delete
    3. AnonymousMay 31, 2024

      Yaha Jo phool khilay wo khila Rahe sadio,
      Yaha Bahar ko guzarne ki bhi majal na ho.

      Delete
  6. Insaa'n ka ahetraam hai itna humay azeez,
    Hum apnay dushmano say bhi nafrat na kar saky

    ReplyDelete
  7. Insaa'n ka ahetraam hai itna humay azeez,
    Hum apnay dushmano say bhi nafrat na kar saky

    ReplyDelete
  8. Starting from remaining words?

    ReplyDelete
  9. Remaining words?

    ReplyDelete