Nadeem Qasmi






tujhe Kho kar bhii tujhe paauuN jahaaN tak dekhuuN
husn-e-yazdaaN se tujhe husn-e-butaaN tak dekhuuN
(husn-e-yazdaaN : beauty of God; husn-e-butaaN : beauty of idols)

tuune yuuN dekhaa hai jaise kabhii dekhaa hii na thaa
maiN to dil meN tere qadmoN ke nishaaN tak dekhuuN

sirf is shauq meN puuchii haiN hazaaroN baateN
maiN teraa husn, tere husn-e-bayaaN tak dekhuuN

vaqt ne zehn meN dhundhlaa diye tere khadd-o-Khaal
yuuN to maiN TuuTte taaroN kaa dhuaaN tak dekhuuN
(khadd-o-Khaal : appearence)

dil gayaa thaa to ye aaNkhen bhii ko’ii le jaataa
main faqat ek hii tasviir kahaan tak dekhuuN

ek haqiiqat sahii firdaus meN huuroN kaa vajuud
husn-e-insaan se nipat luuN to vahaan tak dekhuuN
------------------------------------------------------------------

jii chaahtaa hai falak pe jaauuN
suuraj ko Ghuruub se bachaauuN
(falak : vault of heaven; Ghuruub : ebb)

bas meraa chale jo gardishoN par
din ko bhii na chaaNd ko bujhaauuN
(gardish : time)

maiN chhoR ke siidhe raastoN ko
bhaTkii hu’ii nekiyaaN kamaauuN

maiN shab ke musaafiroN kii Khaatir
mash’al na mile to ghar jalaauuN

ash’aar haiN mere istiyaare
aao tumheN aaiine dikhaauuN
(istiyaare : hope)

yuN baNt ke bikhar ke rah gayaa huuN
har shaKhs meN apnaa aks paauuN

aavaaz jo duuN kisii ke dar par
andar se bhii Khud nikal ke aauuN

ai chaaraa-giraan-e-asr-e-haazir
faulaad kaa dil kahaaN se laauuN
(chaaraa-giraan-e-asr-e-haazir : sympathizers of the time)

har zabr pe sabr kar rahaa huuN
is tarah kahiiN ujaR na jaauuN

ghar Duub rahe haiN tiirgii meN
qabroN pe magar diye jalaauuN

ronaa bhii tarz-e-guftuguu hai
aaNkheN jo rukeN to lab hilaauuN

Khud to “Nadeem” aazmaayaa
ab mar ke Khudaa ko aazmaauuN
---------------------------------------------

kis ko qaatil maiN kahuuN kis ko masiihaa samajhuuN
sab yahaaN dost hii baiThe haiN kise kyaa samajhuuN
(qaatil : murderer; masiihaa : messiah)

vo bhii kyaa din the ke har vah’m yaqiiN hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhuuN
(vah’m : doubt; haqiiqat : reality)

dil jo TuuTaa to ka’ii haath du’aa ko uThThe
aise maahaul meN ab kis ko paraayaa samajhuuN
(maahaul : environment)


zulm ye hai ke hai yaktaa terii begaanaaravii
lutf ye hai ke maiN ab tak tujhe apnaa samajhuuN
--------------------------------------------------------------------------

mujhse kaafir ko tere ishq ne yuuN sharmaayaa
dil tujhe de ke dhaRkaa to Khudaa yaad aaya
(kaafir : non-believer)

chaaraagar aaj sitaaroN kii qasam Khaa ke bataa
kisne insaaN ko tabassum ke liye tarsaayaa
(chaaraagar : sympathizer; tabassum : smile)

nazr kartaa rahaa maiN phuul ke jazbaat use
jisne patthar ke khilonoN se mujhko bahlaayaa
(nazr : offering; khilonaa : toy)

usne andar ko’ii fankaar chhupaa baiThaa hai
jaante-buujhte jis shaKs ne dhokaa Khaayaa
----------------------------------------------------------------------

shaam ko sub’h-e-chaman yaad aa’ii
kis kii Khushbuu-e-badan yaad aa’ii
(sub’h-e-chaman : morning of a garden)

chaaNd jab duur ufaq par Duubaa
tere lahje kii thakan yaad aa’ii
(ufaq : horizon; lahjaa : tone)

yaad aaye tere paikar ke Khutuut
apnii kotaahii-e-fann yaad aa’ii
(paikar : face; Khutuut : letters; kotaahii-e-fann : irresponsibility of craft)

jab KhayaaloN meN ko’ii moR aayaa
tere gesuu kii shikan yaad aa’ii
(gessu : tresses; shikarn : curls)

din shuaaoN se ulajhte guzraa
raat aa’ii to kiran yaad aa’ii
-------------------------------------------------------------
vo ko’ii aur na thaa chand Khushk patte the
shajar se TuuT ke jo fasl-e-gul pe roye the
(Khushk : dry; chand : few; shajar : tree; fasl-e-gul : season of flowers)

abhii abhii tumheN sochaa to kuchh na yaad aayaa
abhii abhii to ham ek-duusre se bichhRe the

tumhaare baad chaman par jab ek nazar Daalii
kalii kalii meN KhizaaN ke chiraaG jalte the
(Khizaan : autumn)

tamaam umr vafaa ke gunaah-gaar rahe
ye aur baat ke ham aadmii to acche the


shab-e-Khaamosh ko tanhaa’ii ne zubaaN de dii
pahaaR guuNjte the dasht san-sanaate the
(shab-e-Khaamosh : silent night; zubaaN : voice; dasht : desert)

vo ek baar mare jin ko thaa hayaat se pyaar
jo zindagii se gurezaaN, the roz marte the
(hayaat : life; gurezaaN : escapists)

naye Khayaal ab aate haiN Dhal ke zehn meN
hamaare dil meN kabhii khet lah-lahaate the
(zehn : mind)

ye irtiqaa kaa chalan hai ke har zamaane meN
puraane log naye aadmii se Darte the
(irtiqaa : progressive)

“Nadeem” jo bhii mulaaqaat thii adhuurii thii
ke ek chehre ke piichhe hazaar chehre the
----------------------------------------------------------------

andaaz huu-ba-huu terii aavaaz-e-paa kaa thaa
dekhaa nikal ke ghar se to jhauNkaa havaa kaa thaa

is husn-e-ittefaaq pe luT kar bhii shaad huN
terii razaa jo thii, vo taqaazaa vafaa kaa thaa

dil raakh ho chukaa to chamak aur baRh ga’ii
ye terii yaad thii ke amal kiimiyaa kaa thaa

is rishtaa-e-latiif ke asraar kyaa khuleN
tu saamne thaa aur tassavvur Khudaa kaa thaa

chhup chhup ke rouuN aur sar-e-anjuman haNsuuN
mujh ko ye mashvaraa mere dard-aashnaa kaa thaa

uThThaa ajab tazaad se insaan kaa Khamiir
aadii fanaa kaa thaa to pujaarii baqaa kaa thaa

TuuTaa to kitne aaiinaa-KhaanoN pe zad paRii
aTkaa huaa gale meN jo paththar sadaa kaa thaa

hairaan huN ke daar se kaise bachaa “Nadeem”
vo shakhs to Ghariib-o-Ghayuur intihaa kaa thaa
---------------------------------------------------------------------------







No comments:

Post a Comment