Ahmed Faraz






is se pahale ke bevafaa ho jaaye.n 
kyo.n na ai dost ham judaa ho jaaye.n 

tuu bhii hiire se ban gayaa patthar 
ham bhii kal kyaa se kyaa ho jaaye.n 

ham bhii majabuuriyo.n kaa uzr kare.n 
aur kahii.n aur mubtalaa ho jaaye.n 

ishq bhii khel hai nasiibo.n kaa 
Khaak ho jaaye.n kimiyaa ho jaaye.n 

ab ke gar tuu mile to ham tujh se 
aise lipaTe.n terii qabaa ho jaaye.n 

bandagii ham ne chho.D dii hai 'Faraz'
kyaa kare.n log jab Khudaa ho jaaye.n



ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa 

pahale se maraasim na sahii phir bhii kabhii to 
rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa 

kis kis ko bataaye.nge judaa_ii kaa sabab ham
tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa 

kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh 
tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa 

ek umr se huu.N lazzat-e-giriyaa se bhii maharuum 
ai raahat-e-jaa.N mujh ko rulaane ke liye aa 

ab tak dil-e-Khush_faham ko tujh se hai.n ummiide.n 
ye aaKhirii shamme.n bhii bujhaane ke liye aa 

maanaa ki muhabbat kaa chhipaanaa hai muhabbat 
chupake se kisii roz jataane ke liye aa 

jaise tujhe aate hai.n na aane ke bahaane 
aise hii kisii roz na jaane ke liye aa



her zaghum ko seenay peh saja laite hein
her dard ko hum dil mein basa laite hein

tum pholoon peh soutay ho tu dukhta hai badan
hum kantoon ko aankhoon se laga laite hein


Unglian aaj bhi isi soch main ghum hain Faraz
Us ne kesay naye haath ko thaama ho ga


Kuch hum say kaha hota kuch hum say suna hota,
garoon say kaha tum nay, gairoon say suna hum nay

Kiya rukhsat-e-yaar ki ghari thi
Hansti hoi raat rou pari thi.........

Hum khud hi hoye tabah warna
Dunya ko hamari kiya pari thi

Yeh zakhm hain unn dino kay
Jubb aap say dosti bari thi

Jatay kidher ko terey wehshi
Zangeer-e-junoon kari pari thi

Gham thay keh Faraz andhiyan thein
Dil tha keh Faraz pankhari thi



Roz Ata Hai wo Meri Kabar Pe Raqeeb K saath Faraz
Kon Kehta Hai K Muslamaan Ko Jalaya Nahi Jata?


Agar manzil juda hai to jane do mujhko faraz
Lout k kab aaoge pochte quuN ho


Faqeehé Shahr nay kaaghaz ki kashtiaañ day kar
Samandaroñ ke safar par kiyaa ravaanah hamayñ

Gham-e-hayat ka jhagra mita raha ha koe
Chale aao k duniya se ja raha ha koe,

Azal se kheh do k ruk jae do gheri
Suna ha aane ka wada nibha raha ha koe,

Wo es naaz se baithay hain laash k paas
Jase rothay hoay ko mna raha ha koe,

Palat ker na a jayain saansen nebzon me
Itne haseen hathon se mayyat saja raha ha koe!





Kia Ruksat Yaar Ki Ghari Thi..!!
Hansti Howe Raat Roo Pari Thi..!!

Hum Khud Hi Howey Tabah Warna..!!
Duniya Ko Hamari Kya Pari Thi..!!

Yeah Zakhm Hein Un Dinoo Ki Yadein ..!!
Jab Aaap say Dosti Bari Thi..!!

Jatey Toa Kider Ko Teray Wehshi..!!
Zanjeer-e-Junoon Karri Pari Thi..!!

Dare’ozar-e-Ghir Hayaat Bann Kar..!!
Duniyaa Teri Raah Mein Khari Thi..!!

Ghum Thay Kay Faraz Aan’diyaan Thein..!!
Dil Tha Kay Faraz Pan’kari Thi,,!!

Kuchh Na Kisi Se Bolenge,
Tanhayi Mein Ro Lenge,

Hum Berehbaron Ka Kya,
Saath Kisi Ke Ho Lenge,

Khud To Hue Ruswa Lekin,
Tera Bhed Na Kholenge,

Jeevan Zeher Bhara Saagar,
Kab Tak Amrit Gholenge,

Neend To Kya Aayegi ‘Faraz’
Maut Aayi To Sou Laingay.


teri duwa say kaza badal to nahi sakti
magar hey iss say yeh mumkin kay tu badal jaye

teri duwa hay kay ho teri arzoo poori
meri duwa hay teri arzoo badal jaye

dil say jo baat nikle asar rakhti hai
par nahin taqat-e-parvaz magar rakhti hai

Dil me yaadon ki tarha, aankhon me aansu ki tarha,
Tum mere paas ho, phoolon me khushbu ki tarha

Yun tho syed bhi ho, Mirza bhi ho, Afghan bhi ho
Tum sabhi kuch ho batao kya musalman bhi ho

chehray pe jo surkhi nazar aati hai sar e sahm
yaa ghaza hai ya saghar o meena ki karamat

Main ke sairai muhabat ka musafir tha faraz
Aik jhounka tha ke khushbou ke safar par nikla
----------------------------------------------------------------------


jis simt bhi dekhun nazar aataa hai ke tum ho
Ai jaan-e-jahan ye koi tum saa hai ke tum ho

Ye khwaab hai khushbuu hai ke jhonka hai ke pal hai
Ye dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho

Ik dard ka phailaa hua sehra hai ke main hun
Ik mauj mein aayaa huaa dariya hai ke tum ho;

Tu paas bhi ho to dil beqaraar apna hai
Ke hum ko tera nahin intazaar apna hai

Mile koi bhi tera zikr chhed deta hai
Ke jaise saaraa jahaa raazdaar apna hai;


Us ko juda hue bhi zamana bahut huaa
Ab kyaa kahein ye qissa purana bahut huaa

Ab kyon na zindagi pe muhabbat ko vaar dein
Is aashiqi mein jaan se jaanaa bahut huaa

Ab tak to dil ka dil se taarruf na ho sakaa
Mana ki us se milnaa-milaanaa bahut huaa;

In baarishon se dosti achchi nahi 'Faraz'
Kachcha tera makaan hai kuch to khayal kar;

------------------------------------------------------------------

Ajnabi kaun ho tum jab se tumhe dekha hai
Saari duniya meri aankhon mein simat aayi hai

Tum to har geet mein shamil the tarannum banke
Tum mile ho mujhe phoolon ka tabassum banke

Aisa lagta hai ke barso se shanaas aayi hai
Khwaab ka rang haqeqat mein nazar aaya hai

Dil mein dhadkan ki tarah koi utar aaya hai
Aaj har saans mein shehnai si lehraayi hai

Koi aahat si andheron mein chamak jaati hai
Raat aati hai tanhaayi mehak jaati hai
Tum mile ho k ya muhabbat ne ghazal gaayi hai

"Jo bhi bichhare hain kab mile hain 'Faraz'
Phir bhi tu intazaar kar shaayad "

-------------------------------------------------

Bohat ajeeb hen yeh bandishen Muhabbat ki Faraz
Na us ne qaid me rakha na hum farar huway...

Kuch is tarah nazar andaaz ho gay Faraz
Jesay izafi hurf thay hum teri zindgi ki kitaab me..

Tujh se bichar ke bachpan ka yeh bhaid khula
Kiyun likhta tha main pairoon pe"tanha tanha

Koi nahin hay merey jaisa charoon aur
Apney gird ek bheer saja ke"Tanha"hoon

Pyar mein ik he mousam hai baharon ka"Faraz"
loh kaisey mousamon ki tarhan badal jatey hain

Jab khizan aye gi to laut aye g wo bhi "Faraz"
wo baharon mein zara kam he nikla karta hai

Jis ko bhi chahaa use shiddat se chaahaa hai Faraz
Silsilaa tuta nahiin dard kii zanjiir kaa

aaj dil khol ke roye hain to yuuN Khush hai 'Faraz'
chand lamhon kii ye raahat bhii barii ho jaise

Hijr Ki Raat Bohat Lambi Hai Faraz
Aao Uski Yaad Mein Thak K So Jaein


Ungliaan aaj bhi esi soch men gum hain FARAZ.
us ne kaisay naey hath ko thmaa ho ga.


jitni shiddat say tumne mujhe zakhm dya hai FARAZ
Itni shiddat say maine tumhe chaha kahan tha

Humari qadar hogi unhain, tanhayoun main Faraz
Abhi to bohat se log hain qareeb un k dil lagi k liye

Lamha Lamha mera is Dukh mein basar hota hai Faraz
K Zindagi bohat kam hai tujhay chahnay k liye

din tu kat jata hain shehar ki ronaq mian faraz
kuch log yaad bouht aayr hian shaam dhal jany k bad

hum tou usay rooh sa hasil kerna chahty hian faraz
jism ti sar-e-bazar bika kerthy hian

bhool jaon doston ko kaisi bath kerthy ho faraz
kabi din nay aghaz kia hian soraj k baghir

sath chalne ko chale thay sabhi dost faraz
lakin meri manzil tak ka sathi sarif mera saya tha

guzer jaye gi zindagi us k bagir b faraz
wo hasrat-e- zindgi hian shart-e-zindgi tu ni

in phoolon ka muqadr kabi aik sa ni hota faraz
kabi sehrayki sajawat benta hian tu kabi qabrion ki ronak

mujhy aaj tak khaber na hui main kis diye ki agg hon faraz
mujhy jisy chaha jala diya ,jis ny chaha bujha dia

her rath usy bhol jany ka irada kr k so jata hon faraz
mager meri subha ka agaz mumkin hi ni us ki yad k baghir

wo shahks jo kahta tha k tu na mela to mar jawo ga faraza
wo aj b zinda hian yahi bath kisi our say kahne k liye

Barson ke baad dekha ek shakhs dilruba sa,
ab zehen mein nahi hia par naam tha bala sa,

abaroo khinche khinche se aankhein jhuki jhuki si,
baatein ruki ruki si lehja thaka thaka sa,

alfaaz the ke jugnoo aawaz ke safar mein,
ban jaaye jangalon mein jis tarah raasta sa,

Khwaabon mein khwaab uske yaadon mein yaad uski,
neendon mein ghul gaya ho jaise ke rattjaga sa,

Pehle bhi log aaye kitne hi zindagi mein,
wo har tarah se lekin auron se tha juda sa,

Agli mohabbatone wo na-muraadiyan di,
taaza rafaqatonse dil tha dara dara sa,

Kuchh ye ke muddaton se kam bhi nahi the roye,
kuch zeher mein bujha tha ehbaab ka dilasa,

Phir yun hua ke saawan aankhon mein aa base the,
phir yun hua ke jaise dil bhi tha aabala sa,

Ab sach kahein to yaaron humko khabar nahi thi,
ban jayega qayamat ek waaqeya zara sa,

Tevar the berukhi ke andaaz dosti ke,
wo ajnabi tha lekin lagta tha aashna sa,

Hum dasht the ke dariya hum zeher the ke amrit,
naahaq tha zonum humko jab wo nahi tha pyaasa,

humne bhi usi ko dekha kal shaam ittefaaqan,
apna bhi haal hai ab logon ‘faraz’ ka sa...


Main mar mita to woh samjha ye inteha thi meri
Usay khabar he na thi, khak keemya thi mein ne

Main chup howa to woh samjha k baat khatm hovee
Phir uss k baad to awaz jabaja thi meri

Jo taana zan tha meri pooshashe dareedah par
Usi k dosh pe raki hovee quba thi meri

Main uss ko yaad karoon bhi to yaad ata nahi
Main uss bhool gya hoon yahi saza thi meri

Shikast de gya apna guroor he ussko
Wagerna uss k muqabil bisaat kia thi meri

Kahee dimagh kahee dil kahee badan he badan
Har ekse dosti yaari juda juda thi meri

Main uss ko dekta rahta tha hairato se Faraz
Ye zindagi se taaruff ki ibtedaa thi meri
-------------------------------------------------------------

wO Gaya tO Saath Hii Ley Gya Sabhi Rang Utaar Kay Shehar Ka
kOii Shakhs Tha Meray Shehar Mein Kisi dOor Paar Kay Shehar Ka

Chalo kOii Dil tO Udaas Tha, ChalO kOii Aankh tO Num Rahii
ChalO kOii Dar tO KhUla Raha Shab e InteZaar Kay Shehar Ka

Ye jO Main Nay Tazza Ghazal Kahi, sO hAi Nazr Ehal e FiraaQ Kii
K Na Mil Saka kOii Nama-Bar mUjhey Meray Yaar Kay Shehar Ka

sO Matta e jAan kO Liye hOye Palat Aaye Teray Garifta Dil
Kisay Baichtay K Milla Nahien kOii Aitbaar Kay Shehar Ka

Meray Tarz e NaGhma Saraaii Say kOii BaGhbaan Bhi tO KhUsh Nahi
Yeh Mera Mizaaj hAi Kya KarOn K hOn Main Bahaar Kay Shehar Ka

Kissi Aur dAis kii Oarr kO sUna hAi “Faraz” Chala Gaya
Sabhi dUkh Samait Kay Shehar Ka Sabhi Qarz Utaar Kay Shehar Ka

----------------------------------------------------------------
Qurbaton mein bhi judai k bahaney mangey
dil woh be mahar k roney k bahaney mangey

Hum nann hotey to kisi aur k chahrchey hotey
Khlqate Khuda to kehney ko fasaney mangey

Yehi dil tha k tarasta tha marasim k liye
Abb yehi tarke tualuq k bahaney mangey

apna yeh hal k g har chukey lut bhi chukey
muhabbat wohi andaz puraney mangey

Dil kisi hal p qane hi nheen jan-e- Faraz
mil gaye tum bhi to kia aur najaney



Tuje kia kahon mein a zindagi
Terai ik pal ke khabar nain

Ma’n yakeen karoon be tou kis tara
Teri shab ke koi khabar nain

Bara Maza hou ke meshir main hum karain shikwa
Wo mashee’un se khain chup rao khuda ke lia



Nazar bujhi tu karishmey bhi roz-o-shab ke gaye.
ke abb talakk nahi Aaaye hain loog jabb ke gaye.

Sunneigaa koun teri Bewafaaiyoon key gilley.
yahi hay rasm-e-zamana tu ham bhi ab ke gaye.

maggar kissi ne hamein ham-saffar nahi jaana.
yeh awar baat ke ham saath saath sab ke gaye.

abb aaye ho tuo yahaan kia hay dekhney ke lie.
ye sheher kab se hay weeran wo log kab ke gaye.

gariftaa dil the maggar houslaa naa haara tha.
gariftaa dil hain maggar houssley bhi ab ke gaye.

tum apni shamma tammana ko ro rahe ho faraz.
in andhiyoon main tu pyare charagh sab ke gaye.



-------------------------------------------------
Aankhon mein sitaare to kayi shaam se utrey
Par dil ki udaasi na dar-o-baam se utrey

Kuch rang to ubhrey teri gul pairhani ka
Kuch zang to aayina-e-ayyam se utrey

Hotey rahey dil lamha ba lamha teh-o-bala
Woh zeena ba zeena barey araam se utrey

Jab tak tere qadmon mein farukash hain sabukash
Saqi khat-e-baada lab-e-jaam se utrey

Be-tama nawazish bhi nahi sang dilon ki
Shaayed woh mere ghar bhi kisi kaam se utrey

Auron ki qaseeday faqat aaward they janaan
Jo tujh pe kahey shair woh ilhaam se utrey

Ae jaan-e-Faraz ae mere har dukh ke maseeha
Har zeher zamaane ka tere naam se utrey!

Guzar Gya WO Zamana K Jab Hum Talabgaar They Tery Faraz
Ab Tu Kabah B Ho Ja To Sajda Na Kerain Gey


Fraz ishq ki dunya tu buhat khoobsoorat thi
Ye kis nai fitna-e- hijr-o- wisal rakha hai

har nya ishq nya zaiqa rakhta hai fraz
aaj kal phir tairi ghazlo’n ki ada aur lagi

Usne sukoot-e-shab mein bhi apna payaam rakh diya
Hijr ki raat baam per maah-e-tamaam rakh diya

Aamad-e-dost ki naveed koo-e-wafa mein garm thi
Meine bhi ik charagh sa dil sar-e-shaam rakh diya

Shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-maikashi rahi
Usne jo phair li nazar meine bhi jaam rakh diya

Usne nazar nazar mein he aisay bhalay sukhan kahey
Meine to uske paaon mein saara kalaam rakh diya

Dekho woh merey khwaab thay dekho yeh mere zakhm hain
Meine to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diya

Ake bahaar ne bhi keen aisi shararatein ke bus
Kubk-e-Dari ki chaal mein tera khiraam rakh diya

Jo bhi mila usi ka dil halqa baghosh-e-yaar tha
Usne to saaray shehr ko karke ghulaam rakh diya

Aur faraz chahiyein kitni mohabbatein tujhe
Maaon ne tere naam pe bachoon ka naam rakh diya

------------------------------------------------




Abr o baraan hi na thay behr ki yorish main shareek
dukh to ye hai k hai mallah bhi sazish main shareek

ta hamain tark e taaluq ka bohat ranj na ho
aao tum ko bhi karain ham isi koshish main shareek

ik to wo jism tilismaat ka ghar lagta hai
us pe hai neeiyat e khaayat bhi poshish main shareek

sari khalqat chali aati hai ussay daikhne ko
kya karay dil bhi k duniya hai sifarish main shareek

itna sharmindah na kar apnay gunahgaroon ko
aaye khuda tu bhi raha hai meri khwahish main shareek

lafz ko phool banana to karishma hai Faraz!
ho na ho koi to hai teri nigarish main shareek
-----------------------------------------------------------------


Barson ke baad dekha ek shakhs dilruba sa,
ab zehen mein nahi hia par naam tha bala sa,

abaroo khinche khinche se aankhein jhuki jhuki si,
baatein ruki ruki si lehja thaka thaka sa,

alfaaz the ke jugnoo aawaz ke safar mein,
ban jaaye jangalon mein jis tarah raasta sa,

Khwaabon mein khwaab uske yaadon mein yaad uski,
neendon mein ghul gaya ho jaise ke rattjaga sa,

Pehle bhi log aaye kitne hi zindagi mein,
wo har tarah se lekin auron se tha juda sa,

Agli mohabbatone wo na-muraadiyan di,
taaza rafaqatonse dil tha dara dara sa,

Kuchh ye ke muddaton se kam bhi nahi the roye,
kuch zeher mein bujha tha ehbaab ka dilasa,

Phir yun hua ke saawan aankhon mein aa base the,
phir yun hua ke jaise dil bhi tha aabala sa,

Ab sach kahein to yaaron humko khabar nahi thi,
ban jayega qayamat ek waaqeya zara sa,

Tevar the berukhi ke andaaz dosti ke,
wo ajnabi tha lekin lagta tha aashna sa,

Hum dasht the ke dariya hum zeher the ke amrit,
naahaq tha zonum humko jab wo nahi tha pyaasa,

humne bhi usi ko dekha kal shaam ittefaaqan,
apna bhi haal hai ab logon ‘faraz’ ka sa...

--------------------------------------------------------------

Tum bhi khafa ho log bhi bereham hain dostou
Ab ho chala yakin ke bure hum hain dostou;


Karun na yaad agar kis tarah bhulaun usee
Ghazal bahana karun aur gungunau usee;

Is se pehle ke hum bewafa ho jaayein
Kyon na ai dost hum juda ho jaayein;

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
Aa phir se mujhe chor ke jaane ke liye aa

Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
Rasm-o-reh-e-duniya hi nibhane ke liye aa

Kis-kis ko batayenge judaai ka sabab hum
Tu mujhse khafa hai to zamaane ke liye aa

Ab tak dil-e-khushfaham ko tujh se hain ummeedein
Yeh aakhari kshamme bhi bujhaane ke liye aa

30 comments:

  1. is se pahale ke bevafaa ho jaaye.n
    kyo.n na ai dost ham judaa ho jaaye.n

    tuu bhii hiire se ban gayaa patthar
    ham bhii kal kyaa se kyaa ho jaaye.n

    ham bhii majabuuriyo.n kaa uzr kare.n
    aur kahii.n aur mubtalaa ho jaaye.n

    ishq bhii khel hai nasiibo.n kaa
    Khaak ho jaaye.n kimiyaa ho jaaye.n

    ab ke gar tuu mile to ham tujh se
    aise lipaTe.n terii qabaa ho jaaye.n

    bandagii ham ne chho.D dii hai 'Faraz'
    kyaa kare.n log jab Khudaa ho jaaye.n

    ReplyDelete
  2. Jab Maire Dil Mein Taire YaadoN Ke Azan Hoti Hai Faraz
    To Apne He Aanso'N Se Wazo Kar Kay Teri Muhabbat Ki Ebadat Karta Hun.

    Is Dafa Tou Barishein Rukti Nahin Faraz
    Hum Ne Ansu Kia Piye, K Saray Mosam Ro Paray


    Kyaa Kahain Kitane Maraasim The Hamaare Is Se
    Wo Jo Ik Shakhs Hai Monh Pher Ke Jaanevaalaa

    Tere Hote Hue Aa Jaatii Thii Saarii Duniyaa
    Aaj Tanhaa Hon To Koii Nahiin Aanevaalaa

    Muntazir Kis Kaa Hon Tuutii Huii Dahaliiz Pe Main
    Kaun Aayegaa Yahaan Kaun Hai Aanevaalaa

    Main Ne Dekhaa Hai Bahaaron Main Chaman Ko Jalate
    Hai Koii Khvaab Kii Taabiir Bataanevaalaa

    Kyaa Khabar Thii Jo Merii Jaan Main Ghulaa Hai Itanaa
    Hai Vahii Mujh Ko Sar-E-Daar Bhii Laane Vaalaa

    Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samjthe Ho Faraz
    Dost Hota Nahi Har Haath Milanay Waala


    Sunaa Hai Bole To Baaton Se Phul Jhharte Hain
    Ye Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain

    Sunaa Hai Raat Usay Chaand Taktaa Rahtaa Hai
    Sitaare Baam-E-Falak Se Utar Kar Dekhte Hain

    Saleeqa Ho Agar Bheegi ANKHON Ko Parnay Ka FARAZ
    To Behtay Howe AANSU Bhi Aksar Baat Kerte Hain

    ReplyDelete
  3. lufzooN mein fusaanay dhoondtay hein hum log
    lumhooN mein zamaanay dhoondtay hein hum log

    tau zeher hi de sharaab keh ker saqi
    jeenay ke bahaanay dhoondtay hein hum log

    yeh daur meh-o jaam chale ya na chale
    nashay se bhi phir kaam chale ya na chale

    hum aihl-e kharaabat se yoon bair na rukh
    saqi tera kal naam chale ya na chale

    hur zaghum ko seenay peh saja laite hein
    her dard ko hum dil mein basa laite hein

    tum pholoon peh soutay ho tu dukhta hai badan
    hum kantoon ko aankhooN se laga laite hein

    hum bhi khud dushman-e jaaN thay pehle
    tum magar dost kahaN thay pehle

    dolat-e ghum tau moyashar thi Faraz
    itne muflis bhi kahaan thay pehle
    -----------------------------------
    Kaun aata hai magar aas lagaye rakhna
    Umr bhar dard ki shamaon ko jalaye rakhna


    Iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb
    Itna na yaad aa ke tujhe bhool jaayein hum

    ReplyDelete
  4. اگر آپ انٹرنيٹ پہ کام کرنا چاھتے اور گھر بيٹھ کہ کمانا چاہتے ہيں تو اس ويب سائيٹ کو کھول کر کام شروع کريں www.neobuxpakistan.weebly.com

    ReplyDelete
  5. Aankh se door na ho dil se utar jaye ga
    waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaye ga


    itna maanos na ho khilwat-e-gham se apni
    tu kabhi khud ko bhi dekhe ga to dar jaye ga


    tum sare rahe wafa dekhte reh jao ge
    aur wo baam-e- rifaqat se utar jaye ga


    zindagi teri atta hai to ye jane wala
    teri bakhshish teri dehleez pe dhar jaye ga


    doobte doobte kashti ko uchala de du'n
    mein nahi koi to sahil pe utar jaye ga


    zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka faraz
    zalim ab ke bhi na roya to mar jaye ga
    (Ahmad faraz)

    ReplyDelete
  6. Dukh fasana nahi ke tujh se kaheN
    Dil Bhi Mana nahi k tujh se kaheN

    Aaj tak apni bekali ka sabab
    Khud bhi jana nahi k tujh se kaheN

    Be tarah haal E dil hai aur tujh se
    Dostana nahi k tujh se kaheN

    Ek To harf E aashna tha magar
    Ab zamana nahi k tujh se kaheN

    Qasid hum faqeer logoN ka
    Ab thikana nahi k tujh se kaheN

    Ya khuda dar E dil hai bakhshish dost
    Aab O dana nahi k tujh se kaheN

    Ab to apna is gali men ” Faraz “
    Aana jana nahi k tujh se kaheN

    ReplyDelete
  7. nice Urdu poetry.
    I am sharing some of my favorite urdu poetry here.

    Elawah Iss K Mohabbat Ne Kiya Diya Hai Mujhe
    Jala K Taiz Hawa Mein Bujha Diya Hai Mujhe

    Sitaara Ban K Sulgta Raha Hoon Jis K Liye
    Usi Ne Khaak Mein Aa Kar Mila Diya Hai Mujhe

    Mein Yaad Rakhta Nahi Hoon Mein Us Ko Yaad Nahi
    Mein Bhool Jata Hoon Us Ne Bhula Diya Hai Mujhe

    Fana Ka Aakhri Jhonka Guzar Chuka Hai Sahib
    K Loh-e-Dil Se Kisi Ne Mitta Diya Hai Mujhe….

    ReplyDelete
  8. Pakistani girls Mobile Numbers, Girls Mobile Number, Latest 2015 and 2016 Girl Mobile Number For Friendship, Girls Mobile Numb

    Girls mobile Numbers

    Pakistani Girls Mobile Numbers

    ReplyDelete
  9. Nice...
    This is very good , however do you want to get Pakistani rishtay or read urdu poetry sms or urdu poetry

    ReplyDelete
  10. Kamal ki Poetry hai yar. . faraz Sahab ny tu dil cheer k rakh dia hai

    ReplyDelete
  11. [¤Mardana kamzori k Elaj¤]
    [penis pump ] 20 din use karny se apk penis ka size bhar jay ga .
    [Pinis in vimax oil] serf 21 din k use karny sy apk penis ka size bhar jy ga .
    [ vimax cupsule:] kya ap hath k Estymal ( Hand Practise ) ki waja apni mardana takat khuo jhukay hain tu vimax cupsule use karain ju apki mardana takat khui hoi ko pher sy bahal kary peshab k sath jo katry haty hain un ko khatam kary serf 30 din k use karny sy .
    [Vigrx plus.] Mardana takat k lia khas es sy apki timeng or penis ka size b bary ga .100% orignal
    [maxman 2.].mardana kamzori k lia apko takat de penis ka size timeng baray.
    [ Lorgo creem ] 20 din k use karny sy apk penis ka size bhar jy ga 100% Razalt
    [.Largo sapry] sex time zeyada kary jo log sex karty wakt jald farik o jaty hain wo largo sapry use kary
    [cailis capsule ]. Timeng zeyada karny k .
    [Viagra capsule] . Usa orignal
    [Shakti parash oil] .penis ka size bara karny k lia serf 15 din k use karny sy apko fark mesoos o ga.
    [Jaguor pawer men gil] in pinis serf 21 din k use karny sy apk penis ka size bhar jy ga 100% .
    [Femele drops]. Larki ko garm karny k drops 5 ment me larki
    sex k lia teyar o jy.
    [Vigina tghitening creem.] Serf 25 din k use karny larki ki vigina tghit belkul pely ki tara .
    [Vigina tghitening deblet ]
    Brest creem .serf 30 din use karne sy larki k boobs bary o jy gy

    call for oder detail
    call/sms
    watsAap
    0348 92 20 610
    free home delivery All pakistan
    زنانہ و مردانہ کمزوری کا کامیاب علاج.
    100% کامیاب رزلٹ.
    ھماری ادوایات خالص جڑی بوٹیوں سے تیار شدہ ھیں.
    رابطہ نمبر
    www.facebook.com/atdclinic

    ReplyDelete
  12. You can also download Islamic ringtone here.
    islamic ringtones

    ReplyDelete
  13. tuu dhokhy khaye jaa a dil hokar be-khram
    hum terii wafaon ko chupyenge taa-umar

    matt kar yaad hme faqat bhoolna accha hai
    inn zakhmon se toh tera paas hon accha hai

    ReplyDelete
  14. shayrii ko humarii naa smjh jaaye koi bhii
    isliye nahii likhtey tadapkar kabhii haal-e-dil

    ReplyDelete
  15. mohabbat kii thii mohabbat kartey hai ab bhii tujhsey AKRAM
    ye aur baat hai k nafarat kii teg se

    ReplyDelete
  16. duniya mein aaye hai toh gum bhii sahenge
    terii adayein teri zafayein terii bewfai sahenge
    hum bhii kar k tujhsey mohabbat aey jaanaa
    yaar kii nigahon kii maikhuwaari sahenge
    tujhsey mohabbat kii hai toh ye bhii sachh hai AKRAM
    hum tamaam terii zillat-e-dagabaziyan sahenge

    ReplyDelete
  17. i love this poetry, You may Also Like to Download Iphone Ringtones Free.

    ReplyDelete

  18. http://urduguest.com/
    Urdu Digests,Novels,Education Books,Health Tips ,information etc.

    ReplyDelete
  19. Hi everyone!
    Today I will share with you top best ringtones in 2017.you will music music, experience the hot tunes.You can refer and see more instructions to download ringtones for your phone:dowload Iphone ringtone

    ReplyDelete
  20. urdu poetry 2018 best faraz ahmad ghazal k liye hamari website visit kren

    ReplyDelete